PEHLI FAZILAT : Ye roza pechle saal ke sabiqa gunah muaf kar ta hai. Abu Qatada Radi Allahu Anhu se rivayat hai:
Nabi-e-Rahmat (ﷺ) se Ashoora ke din ke rozey ke bare mein pucha to:
Aap (ﷺ) ne faramaya "ye Guzrey huye saal ke (sagheerah) gunahon ka kaffara hai."
[Sahih-Muslim, kitab as Siyaam, Hadees: 1162] Subhanallah, agar koi shaks is roze ko la parwahi se choad de toh sochiye uska kitna nuqsan hoga.
DUSRI FAZILAT : Abdullah ibn Abbas Radhi Allahu Anhu bayan karte hain: "Maine Aap (ﷺ) ko Aashoora ke roze aur ramzan ke rozon ke Siwa aur kisi dinon ko afzal jaan ke qasd (yani talash) karte hue nahi dekha."
[Sahih Bukhari, kitab as siyaam, Hadees: 2006]
TEESRI FAZILAT : Abu Huraira Radhi Allahu Anhu se rivayat hai:
Nabi-e-Rahmat (ﷺ) ne farmaya: "Ramzan ke baad sabse behtar aur Afzal roze Muharram ke roze hain."
[Sahih: Tirmidhi,Kitab as saum, Hadees: 740]
Allah hum sab ko naik hidayath de ..Ameen
0 comments:
Post a Comment