Monday, October 26, 2015

TAQLEED AUR 4 IMAM



بِسْــــــــــــــــــمِ اﷲِالرَّحْمَنِ اارَّحِيم

TAQLEED AUR 4 IMAM


Sawaal: Ek Rab, Ek Rasool , Ek Ummat Fir Yeh 4 Imaam Ki Taqleed Kyu ??

Jawaab: Sabse Pahli Baat – Ke Kisi Bhi Ummati Ki Koi Baat Agar Kitabo Sunnat Se Mel Khati Ho Tou Behrhaal Uske Man’ne Me Koi Harz Nahi.

Dusri Baat Yeh Hai Ke- Hajir Dour Ke Logon Se Behtar Hai Jo Pichle Gujar Chukey.. Kyunki Wo Johad, Taqwe Aur Zamane Ke Lihaj Se Rasool’Allah(Sallallahu Alaihay Wasallam) Se Jyada Nazdiq They. Jaisa Ke Kuch Log Haal Ke Dour Ko Mantey Hai Us’se Behtar Hai Ke Jo Pichle Gujre Hai Unko Mana Jaye..

Aur Tisri Baat Ke Taqleed Mutlaqan (100%) Haraam Nahi Hoti ..
Kuch Jagah Aa Kar Jab Kitabo Sunnat Se Muamla Nahi Milta Jo Ulma Akaz Karke Detey Hai, Usko Bhi Taqleed Kaha Jata Hai Arbi Zubaan Me … Haa! Lekin Agar Taqleed Se Muraad Yeh Ke ‘Bagair Sochey Samjhye Kisi Ke Pichey Chal Padna Fir Yeh Durust Nahi’..Iski Ijajat Shariyat Nahi Deti ..

Aur Iskey Bil-Mukabil Shariyat Ne Surah Yusuf Ki Ayat No.108 Me Farmaya.. “Qul Haazihee Sabeeleee” »Keh Dijiye Yeh Mera Rasta Hai"
“Ad’ooo Ilal Laah” »Mai Logon Ko Allah Ki Taraf Bulata Hu"
“Alaa Baseera Tin” »Aqalmandi Ke Sath Mai Bhi Bulata Hu"
“Ana Wa Manit Taba’anee” »Mere Pairokaar Bhi Baseerat Se Bulatey Hai"

(Al-Quran: Surah Yusuf: Ayat-108)

* Tou Kisi Shakhs Ne Aqal Aur Baseerat Ka Pura Istemal Kiya, Kitabo Sunnat Se Koi Dalayeel Akaz Kiye Jiska Sidhe Aur Wajeh Koi Baat Quraano Hadees Me Humko Nahi Mil Rahi Thi Tou Isko Bhi Arbi Zubaan Me Taqleed Kaha Jata Hai ..
Aur Isko Man’ne Me Koi Harz Nahi..

* Lekin Ha! Agar Taqleed Se Muraad Galey Me Patta Daal Kar Kisi Ke Pichey Chal Dena Tou Shariyat Iski Izajat Nahi Deti.. Jabke Shariyat Ne Itteba Ka Hukm Diya.. Rasool’Allah(Sallallahu Alaihay Wasallam) Ki Bhi Itteba Allah Ki Itteba Hai.. Allah Aur Uske Rasool Ki Taqleed Ka Hukm Nahi Diya .. Aur Taqleed Ka Lafz Quraano Hadees Me Aata Bhi Nahi Hai..
Ellah Ke “Khalayda” Lafz Aaya Hai Janwaro Ke Talluk Se Pattey Dalne Ka Bus Usi Tarha..

* Lekin Momin Itteba Ke Mukallab Hota Hai..
Lekin Uske Bawajud Koi Kahe Ke – Kya Mutlaqan Haraam Hai ?
Tou Hum Kahenge Nahi !!! Kyunki Kuch Masayeel, Kuch Muamlaat Me Aakar Hum Badey Ulemao Ke Hawale Fir Dete Hi Hai..
“Ke Iss Muamle Me Unhone Falah Cheez Akaz Ki” .. Tou Fir Yeh Kya Hua ???
Yeh Bhi Tou Kitabo Sunnat Ki Dalayeel Ka Kuch Akaz Karke Diya Jo Sidhey Se Nahi Mila Hume, Tou Isko Bhi Arbi Zuban Me Taqleed Kaha Jata Hai.. Aur Yeh Taqleed Durust Hai,..

* Ab Logon Ne Isme 2 Moukuf Bana Diye..
(1) Ek Boltey Hai Ke Taqleed Mutlaqan Haraam Hai.
(2) Aur Dusre Boltey Hai Ke Haraam Nahi! Jaya , Farz Aur Farze-Aiyn Hai Aur Iske Bagair Insan Ki Raahe Najat Nahi Aur Chara Nahi…
Fir Wo Kehte Hai Ke Taqleed 4 Imamo Ki Hi Jaruri Hai,…

Tou Sawal Yeh Niklta Hai Ke Kya Yeh Ummat Itni Kamzor Hai Ke Iske Paas Sirf 4 Hi Imam Hai???
Itni Badi Ummat Kya Iss Ummat Me Sirf 4 Hi Imaam Gujrey??
Ha! Yeh Alag Baat Hai Ke Yeh 4 Imaam Mash’hur Huey …

Hala Ke Rasool’Allah(ﷺ) Ke Baad Bohot Se Aise Log Gujre Jinka Maslak Bohot Mash’hur Hua.. Jaise Ke – Imam Lays(Rahmatullah Alayh) ..Inka Maslaq Bohot Mash’hur Tha, Hatta Ke Imam Shafayi(Rahmatullah Alayh) Se Jyada Man’ne Wale Inke Log They..

Lekin Ek Zamana Aaya Ke Misr Me Ek Hukumat Aayi Jinhone Imam Shafayi Ke Maslak Par Chalne Walo Ko Wajifa Diya Jata Tou Sab Imam Lays Ke Maslaq Ko Chodkar Idhar Chaley Gaye.. Aur Inka Maslak 400 Salo Tak Chala , Tou Goya Imam Lays Ka Maslak 5th Wa Hua..
Isi Tarha Aur Bhi Kayi Maslak Gujre Jo Mash’hur They
Jaise Ke – Imam Sufyan Sauri Ka Maslak.. Yeh Bhi Ek Bada Mash’hur Maslak Tha,..
Khud Imam Abu Hanifa(Rahmatullah Alayh) Jo Inke Ustad They Inka Bhi Maslak ,..
Tou Aisi Bohot Si Cheeze Thi..

* Maslak Se Murad Kisi Masley Ka Unhone Unsey Jawab Liya Aur Behtar Samjha Inki Daleel Ko..
Lekin Baad Ke Daur Ke Logon Ne Isko Thaam Liya Ke Ek Ke Pichey Hi Chalna.
Aur Fir 4 Ki Taqleed Wajib Ki Iss Ummat Ko ..
Jab Ke Agar Koi Kahe Ke 4 Imamo Se Kis Ek Ki Taqleed Hum Par Wajib Hai Tou Fir Sawal Yeh Hota Hai Ke Sahaba Kiski Taqleed Karte They ?
Sidha Sa Ekdum Aam Sawal Hai Ye.. Sidhi Ek Misaal Jati Hai Ke Rasool’Allah(Sallallahu Alaihay Wasallam) Ke Baad Jo Log Aaye, Sahaba Ki Jamaat, Jabke Pahle Imam Jo Log Kahte Hai Behrhaal Hum Kahte Hai Ke Imam Tou Kayi Gujre,

Jaise Ke
Abu Baqar Siddhiq(RaziAllahu Anhu) .. Kya Mere Aur Aapke Liye Imam Nahi Hai Yeh ??
Umar Ibne Khattab(RaziAllahu Anhu) .. Kya Mere Aur Aapke Liye Imam Nahi Hai Yeh ??
Usman Ibne Affan(RaziAllahu Anhu),
Ali Ibne Abu Talib(RaziAllahu Anhu),
Abdulla Bin Umar(RaziAllahu Anhu),
Abdulla Bin Abbas(RaziAllahu Anhu)!!
Kya Yeh Sab Mere Aur Aapke Liye Imam Nahi Hai ??

Aur Sahaba Ki Tadat Lakho Me Jati Ho Jo Apne Wakt Ke Imaam They,,
Kya Yeh Sab Humare Liye Imam Nahi Hai ??
Gaur Karne Wali Baat Hai.. Jaraasa Ta’suff Jehan Se Hatakar Ek Khuley Jehan Se Sochne Wali Baat Hai Ye… Ke Sahaba Ki Puri Jamat Ko Kabhi Imam Nahi Kahte Hum ,..

* Unke Baad Jab Imam Abu Hanifa(Rahmatullah Alayh) Ka Daur Jinhe Pahla Imam Mana Jata Hai Aur 80 Saal Baad Inki Paidayish Hoti Hai 80 Hijri Me ..
Aur Uske Baad Maslak Inka Rayej Hota Hai Bahrhaal 20 Saal Bhi Agar Maan Le Tou 100 Saal Ho Gaye..
Tou Sawal Yeh Aata Hai Ke Yeh 100 Saalo Me Log Kiske Tareeko Par Chaley???
Yeh 100 Salo Ka Jo Waqfa Gujra Is Waqfe Me Log Kis Imam Ke Pichey Chaley??, Kiski Itteba Ki? Kiski Pairwi ?
Unke Baad Imam Shafi(Rahmatullah Alayh) Aatey Hai.. Unka Daur Tou Aur Baad Ka Hai ,,.
Fir Imam Ahmad Bin Hanbal(Rahmatullah Alayh) Aatey… Tou Itne Daur Me Log Kiski Itteba Karte They ???

* Aur Kaha Jata Hai Ke – Taqleed 400 Saal Baad Shuru Hui Rasool’Allah(ﷺ) Ke.. Iss Andaz Se Ke – EK Imam Ko Man’na Compulsory Hai.?
Jab Ke Us’se Pahle Log Imamo Ko Mantey Lekin Kisi Masley Me Ek Imam Ki Raay Ko Behtar Samjhtey Tou Kisi Masley Me Dusre Imam Ki Ray Ko Behtar Samjha Jata,…
Lekin Badme Yeh Hua Ke Compulsory Ek Hi Imam Ko Man’na Hoga,…

* Aur Fir Taqleed Ek Aisa Roop Le Li Ke Dheere Dheere Yeh Majahib Ban Gaye …
Aur Fir Muamla Yeh Hua Ke Ye 4 Alag-Alag Ajib Cheeze Ho Gayi..
Jiska Natija Yeh Hua Ke – ‘Kaabe Ke Andar 4 Musalley Hua Karte They..
Aur Log 4 Alag-Alag Wakt Me Ek-Ek Namaz Padhtey They,,
Wo Hanfi Musalla,
Wo Shafayi Musalla,
Ye Maliki Musalla Aur
Yeh Hanbali Musalla!!!
Subhan Allah !! Allah Ke Deen Ko Aisa Baant Diya Humne..
Allah Reham Kare…

» Sabak: Aur Aisi Taqleed Ka Natija Bhi Samne Aya – Ke Log Aksar Sawal Karte – Kya Mera Nikah Hoga?
Ladki Shafayi Hai Aur Mai Hanfi.. SubhanAllah !!
Kyu Hum Bhul Gaye Ke Hum Sab Ek Nabi Ki Ummat Hai.. Behrhaal !! Kisi Imaam Ki Baat Man’na Jo Kitabo Sunnat Se Mel Khati Ho Ismey Koi Harj Nahi …

Lekin Fir Hum Yeh Kahenge Ke Allah Ki Kitaab Aur Uske Rasool’Allah (ﷺ) Ki Sunnat Mukaddam Aur Uske Baad Jiska Qoul Insey Rayej, Mel Khaye Chahe Uss Daur Ke Imaam Ho, Ya Iss Daur Ke Imaam Ho! Aap Unki Baat Yakinan Maan Saktey Hai Lekin Iteeba Ke Toar Par!!! Naa Ke Iss Andaz Se – Ke Jo Bhi Unhone Keh Diya Wo Patthar Ki Lakeer Hai Fir Chahey Kitabo Sunnat Ke Khilaf Hi Unki Baat Kyu Na Jaye.

Lihaja Hum Tamam Par Lazim Hai Ke Sahi Ilm Hasil Karey, Uspar Amal Karey, Aur Ikhlas Ke Saath Apni Aur Ummat Ki Islah Ki Koshish Karey.


Taqleed Ka Radd Aur Char(4) Imam

Imam Abu Haneefa (R.A)
Imam Abu Haneefa (R.A) Farmate hain: Mere Raae ko Qubul karna Haram hai jab tak Meri Baat ke Dalil Malum Naa Karlo.
(Mezan Al Sharani, Aqeedal jaid Page # 80)

Imam Abu Haneefa (R.A) Farmate hain: “Jab Dekho ke Hamara Raai Quran aur Hadees Ke Khilaf Hai tou Quran aur Hadees par Amal karo aur Hamare Qaul ko Deewar Per dey Maro.”
(Mezan Al Sharani, Aqeedal jaid Page # 53)

Imam Abu Haneefa (R.A) Farmate hain: “Jab Tumhe koi Sahih hadith mil jaye to wahi mera Mazhab hai.”
Ibn `Aabideen in al-Haashiyah (1/63)

Imam Abu Haneefa (R.A) Farmate hain: “Lanat ho tumpar O Yakub. Har chiz jo mai farmata hu wo na likho, Kyuki ye hota hai ki agar aj mai ek Raae rakhta hu to kal usi Raae ka inkar kar sakta hu ya mai kal ek Raae rakhta hu aur parsu us se inkar kar sakta hu.
(An Nafi- Al kabir p:135 by Abdul hasanaat al Luqnawi)

Ek dusri riwayat me Imam Abu Haneefa farmate hai: “…Kyuki ham Insan hai: Ham ek chiz ek din kahte hai aur dusre din (apni baat) wapis le lete hai.


Imam Malik (R.A)
Hazrat Imam Malik (R.A) farmate hai: “Mai Sirf ek Insaan hu, Kabhi meri baath saahi hoti hain aur Kabhi Ghalat to tum meri es baat ko jo Quran aur Hadees ke Mutabik ho lay liya karo aur us baath ko jo is ke khilaf ho chor diya karo (yaani meri Taqleed Mat karo).
Ibn `Abdul Barr in Jaami’ Bayaan al-‘Ilm (2/32)

Ibn Wahb farmate hai:
“Maine Malik se (wuzu ke dauran)Panjo ke bich saaf karne ko puchte hua suna. Unhone farmaya logo ko ye nahi karna chaiye. Jab bhid kam hui maine unke pas jaa kar unse kaha ki hame iske bareme ek sunnah pata hai. Unhone farmaya wo kya hai? Maine kaha: “Laith ibn Sa’d, Ibn Lahee’ah aur Amr ibn al-Haarith ne hamse riwayat kiya hai Yazeed ibn Amr al-Ma’aafiri se aur unhone Abu Abdur-Rahman al-Hubuli se aur unhone Mustawrid ibn Shaddaad al-Qurashi se jinhone farmaya: Maine RasoolAllah (sallallaahu alaihi wa sallam) ko Apni choti ungli se panjo ke bich ragadte hue dekha. Imam MAlik ne farmaya ye hadith sahih hai aur maine abhi tak ye nahi suna tha. Uske baad maine unse yahi sawal puchte hue suna jispar unhone panjo ke bich saaf karne ka hukm diya.
From the Introduction to Al-Jarh wat-Ta’deel of Ibn Abi Haatim, pp. 31-32.

Imam Shafai(R.A)
Imam Shafi farmate hai: “RasoolAallah ki sunnat ham sab tak pahuchti hai aur faraar(escape) bhi hoti hai, isliye jab bhi mai apni Raae ya koi Sharai baat tayar karta hu jo ki RasoolAllah ki Ikhtiyar se takraati hai toh fir sahih Raae Rasool Allah ka Ikhtiyar hai aur yahi meri Raae hai.
Related by Haakim with a continuous sanad up to Shaafi’i, as in Taareekh Dimashq of Ibn Asaakir (15/1/3).

Imam Shafi farmate hai: “Jab Tumhe koi Sahih hadith mil jaye to wahi mera Mazhab hai.”
Nawawi in Al-Majmoo’ (1/63),
Sha’raani (1/57),
giving its sources as Haakim and Baihaqi, & Fulaani (p. 107).

Imam Ahmed Ibne Hambal (R.A)
Imam Ahmed imamo ke sabse pahle imam the sunnah jamah karne wale aur use padke rahne wale, itna ki unhe ye sakht na-pasand tha ki unke Qiyas aur Raae ki kitab likhi jaye.
Ibn al-Jawzi in al-Manaaqib (p. 192)

Imam Ahmed Ibne Hambal (R.A) Ney Farmaya: Hargiz naa meri Raae Naa Malik (R.A) ke Aur Imam shafai (R.A) ke aur Naa Imam Auzai ke aur naa Imam Thawri ke , Jaha say yeh Tamam Imam Deen ke Ahkam waa Masail Layte theay (Quran aur Hadees) Tum bhi wahi say hi Leena.
(Aqeedatul Jaid Page # 70)

In Charo Muhtaram Imamo ke qaul say yeh Baat Saaf Zahir hoti Hai ke Mohammed (s.a.w.) ke hadees ke Mutabik Maa Aana Alaihi Wa Ashabihi kaa Rasta Eqtiyar karne ka hukum Farmaya, Yeh sub ke sub Quran aur Hadees par Amal Karte the, Yehi inka Mazhab tha, in charo Buzurgo ney apni Taqleed say Mana kiya tha aur kisi ney bhi Alag Mazhab apne naam say mansoob karke Murtib Nahi kiya, Wo koi naya mazhab nahi banane aye the, In imamo ka mazhab wahi tha jo ke RasoolAllah ka mazhab tha.

RasoolAllah (ﷺ) ney farmaya :sub say bahetar Ahle Zamana Mere Hain, Phir woh jo en ke Baad wale hain, apne zamane ke baad Do Zamano ka Zikr Kiya.
[Sahih al Bukhari, hadith- 437.]

Allah hame Rasool ki baat ko imamo ki baat se amalan unchi rakhne ki taufeek ata farmaye aameen.
Posted By: Subhani Nadeem

4 comments:

  1. Bhot ache
    Allah aap ko jazaye khair de

    ReplyDelete
  2. Bhot ache
    Allah aap ko jazaye khair de

    ReplyDelete
  3. Hello, I have browsed most of your posts. This post is probably where I got the most useful information for my research. Thanks for posting, maybe we can see more on this. Are you aware of any other websites on this subject. ziyarat imam hussainkarbala

    ReplyDelete