Bismillahirrahmanirrahim
Mafhum-e-Hadith - 9 Aur 10 Muharram ka Roza
✦ Ibn Abbas Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam jab madina mein tashreef laye to Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne yahudiyo ko dekha ki wo Ashura ke din (10 Muharram) ka roza rakhte hain, Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne unse iska sabab pucha to unhone kaha ki ye ek achcha din hai is din Allah susbhanhu ne bani israeel ko unke dusman ( firaun) se nijat dilwayee thi isliye Musa Alaihi salam ne us din ka roza rakha tha to Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Musa Alaihi salam par tumse zyada haq hamara hai, phir Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne bhi us din roza rakha aur Sahaba Radi allahu anhuma ko bhi iska hukm diya
Sahih Bukhari, Vol 3, 2004
✦ Abdullah Bin Abbas Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Jab Roza rakha Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam Ne Aashurey ke din (10 Muharram) ka aur Huqm (Order) Kiya is Rozey ka, to logo ne Arz ki Ya Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ye din to aisa hai ki iski Taazim karte hain Yahud aur Nasara,To Aap Sallallahu Alaihi wasallam Ne farmaya Ki Jab Agla Saal aayega to Insha-Allah Hum 9 ka Roza Rakhege,Aakhir Agla Saal na aane paya ki Aap Sallallahu Alaihi wasallam Duniya se wafat pa gaye(isliye hum musalman 9 muharram aur 10 muharram dono ka roza rakhte hain)
Sahih Muslim, Vol 3, 2666
★ Sab Rozo Main Afzal Ramadan ka roza, aur oskey Baad Muharram Ka Roza hain…
Abu Hurairah (Razi Allahu Ta’ala Anhu) Say Riwayat Hain Kay, Rasool Allah ﷺ (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ney Farmaya,
“Sab Rozo Main Afzal Ramadan ka roza, aur oskey baad Muharram Ka Roza Hain, Jo Allah Ka Mahina Hain Aur Baad Namaz-e-Farz Kay Tahajjud Ki Namaz Hain”.
(Sahih Muslim , Vol 3, 2755)
Abu Hurairah (Razi Allahu Ta’ala Anhu) Say Riwayat Hain Kay, Ek Sahib Rasool’Allah ﷺ (Sallallahu Alaihay asallam) Kay Khidmat Main Hazir Hokar Arz Karney Lagey Kay, “Ramadan Kay Baad Sabsey Ziyada Fazilat Kaun Say Rozey Ki Hain, Toh Aap (Sallallahu-Alaihi-Wasallam) Nay Farmaya, “Allah tala Ka Mahina Jisey Tum Muharram Kahtey Ho”. Sunan Ibn Majah, Vol 1 , # 1742 ( Sahih)
★ Muharram Ke Roze ki shuruat aur iski Taarikhi pashmanzar..
Abdullah Bin Abbas(Radiallahu Taala Anhu) Sey Riwayat Hain Kay Jab Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Madiney Main ashreef Laye Toh Yahudiyon Ko Dekha Kay Aashurey Ka Din Ka Roza Rakhtey Hain, Logo Ney Unn Sey Pucha Ki Kyon Roza rakhtey Hain, Toh Unhoney Kaha Ki Ye Wo Din Hain Jab Allah Ta’ala Ney Musa (Alaihi Salaam) Aur Banee Israeel Ko Firoun Par Galba (Victory) Diya Isliye Aaj Hum Rozedar Hain, Iski Taazeem Kay Liye, Toh Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ney Farmaya: “Hum Tum Sey ziyada Dost Hain Aur Kareeb Hain Musa (Alaihi Salam) Kay, Phir Hukum Diya Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ney Iss (10 Muharram) Rozey Ka.”
[Sahih-Muslim, Vol-No: 3, Book:6 (Roze Ka Masayel), Hadees-No:2656]
Aashura ke Roze ki fazilat… Abu Qatada al-Ansari radi Allahu Anhu se rivata hai ki Nabee Sallallahu Alaihi wasallam se Asura (10 Muharram) ke din ke rozey ke bare mein pucha to Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne faramaya ye Guzrey huye saal ke gunahon ka kaffara hai. (Sahih-Muslim, Vol-no: 3, Book: 6(Roze ka Masayel), Hadees-no: 2747)
★ Akser Logon ko ye Doubt rehta hai k Kiya 10 muharram ka ek hi Roza rakhna chahiye ya Do rakhna hai ?
Iska Jawab Hadees k mafhoom se maloom kartey hain …
0 comments:
Post a Comment