Sunday, October 4, 2015

SHIRK AUR MAUJOODA MUSALMAAN



Bismillahirrahmanirraheem
MADADGAAR KAUN?

"Hum sirf teri hi “IBADAT” karten hain,aur sirf tujhse hi madad chhate hain"
[Fatiha, 04]

Is aitbar se na “Ibadat” Allah k siwa kisi aur ki jayez nahi, Aur na “Madad” talab karna kisi aur se jayez hai, in alfaz se “Shirk” ka darwazah band kar diya gaya,

likin Jinke dilon me “ Shirk” k rog rah pagaye, Woh “MAFUQ-ASBAB”( ye sirf Allah k liye khas hai) aur “MATIHAT-ASBAB” ( ye insano k liye khas hai) me madad talab karne me fark ko nazar andaaz karke logon ko dhoke me dal dete hain,

Aur kahete hain k dekho jab hum Bimar ho jate hain, to “Doctor” se madad hasil karte hain, Biwi (Wife) se madad chhate hain. Driver aur digar insan se madad k talib hote hain, Is tarah ye apni baat manwate hain, ki ALLAH k siwa auron se bhi madad mangni jayez hai,


hala k Asbab k Matihat ek dusre se madad chhana ya madad karna ye shirk nahi, Ye to Allah ka banaya hua nezaam hai, jis me sare kaam “ZAHIRI ASBAB” k mutabik hi hote hain. . .


Hatta ki Ambiya(a.s) bhi insano ki madad hasil karte the,
Hajrat Esaa(a.s) ne farmaya: "Allah k deen k liye kaun mera madad gar hai"?
[Surah:Al-Saaf, Aayat:14]


Allah ne Ahle-Emaan ko farmaya: "Neki aur taqwa ke kamo me ek dusre ki madad karo"
[Surah:Al-Maydah, Aayat:02]

Zahir baat hai ke ye taaun na Mamnu hai aur na Shirk hai, balke Matlob-o-Mahmood hai iska istalahih Shirk se kya taloq?


Shirk to ye hai ke aise saks se madad ki Talab ki jaye jo zaahiri- asbab ke lihaz se madad na kar sakta hai, jaise kisi “Murda” saks ko madad k liye pukarna, Isko muskil kusa aur hajat rawan samjhna, Isko nafa-o-nuksan karne wala samjhna aur door-o-nazdik se har ek ki faryad sune ki salahiyat wala taslim karna, Iska naam hai “MAFUQ-AL-ASBAB” (yani jis tarah se Allah se madad talab ki jaye) isi tarike se madad talab karna, Aur use khudai sifat se Mutasif maana, isi ka naam Shirk hai, Jo badkismati se Mohabbat-e-Aulya k naam par MUSALMAN karte hain…..

Allah tala farmata hai : "Tumhare liye tumhara deen hai aur mere liye mera deen hai",
[Surah:Al-Kaferoon, Aayat:06]

yani agar tum apne deen par razi ho, Au ise chodne k liye taiyar nahi ho, To main apne deen par( jo haq hai) razi hu, Main ise kyon chodon?.

"Hamare liye hamara ammal aur tumhare liye tumhara ammal"
[Surah: Al-Qasas, Aayat:55]


Ye kabhi mumkin nahi ke main Tuhid ka rasta chodkar Shirk ka rasta ikhtiyar kar lu, jaisa ke tum chhate ho, Aur ALLAH ne tumhare kismat main hedayat nahi likhi hai,To tum bhi is Tuhid aur Ibadat- e-A lahi se mahroom hi rahoge. . .

0 comments:

Post a Comment