UMMAT E MUHAMMADIA ME SHIRK AA SAKTA HAI !!!
Bismillahirrahmanirraheeem
"To Aye Nabi saw Allah ke siwa kisi or mabood ko mat pukaarna warna Aap ko azaab diya jayega ,"
(Surah:26, Ash-Shu'ara, Aayat No.213)
"Momino usi Allah ki taraf rujoo kiye raho or Allah se darte raho or Namaz padhte raho or Mushrikon mein na hon"
(Surah:30, Ar-RooM, Aayat No.31)
[1] - Nabi saw"ne Farmaya , sare Nabiyon as"ko 1 ek Magbool Du'a milti hai , sare Nabiyon as"ne apni zindagi mein oh Du'a maanglien , par Main saw"is Du'a ko Bachaye rakha hun ke Qiyamat ke din Main saw"sifarish karunga us shakhs ke liye jo Allah ke saath kisi ko shareek kiye bagair maara ho , To Main saw"uske liye sifarish karunga Insha Allah ,
[Bukhari]
[Muslim]
[2] - Nabi saw"ne Farmaya ke khabaardar tum se pahle ki ummat apne Nabiyon or Shaalein Auliya ke Qabr ko sajdah Ibaadat Gaah Bana liya tha , Khabaardaar Main tum logon ko mana karta hun ke tum kisi ke Qabr ko Sajdah ya ibaadat Gaah na bana lena ,
[Muslim]
[3] - Nabi saw"ne farmaya ke meri ummat mein shirk aise dakhil ho jayegi ke jaise Chuuti chalti hai ke koi aawaz nahi aati waise meri ummat mein shirk dhakhil hoga , Lekin Main saw"tum ko ek Du'a sikhata hun jo tumhe chhoti or badi shirk se bachayega , kaho Du'a ,
{Aye Allah mujhe bachha ke main jaante bhujhte tere saath kisi ko shareek karo , or yeh ke main Anjane mein tere saath kisi ko shareek karo Aye Allah mujhe isse bachha or apne panah mein rakh}
[Hakim]
[Tirmizi , ke Nawazer ul wasool mein riwayat kiya hai , or iska sanda sahi hai]
[4] - Nabi saw"ne farmaya ke main is baat se sabse zayad daar ta hun ke , mere baad meri ummat mein khufr or shirk karenge ,
1 khufr Taqder ka inkaar ,
2 Sitaron se yakin yani yeh kahe ke mara sitara Gaardish mein hai or yeh shirk hai ,
[Abu Yaala , iska sanda sahi hai]
[5] - Nabi saw"ne farmaya ke Main is baat se daarta hun ke mere baad meri ummat mein 3 chiz aayegi or main nahi chahata ke woh 3 chiz aaye lekin woh aake rahegi,
1 Sitaare par yakin ,
2 Baadsha ka zulm ,
3 Taqdeer ka inkaar ,
[Mushnad Ahmad]
[Taabrani al Kaaber, iska sanad sahi hai]
[6] - Nabi saw"ne farmaya ke meri ummat mein Namaz ko chhod na Kufr or shirk hai ,
[Muslim]
[7] - Nabi saw"ne farmaya Allah ka Banda or shirk mein Namaz chhod na hai jo shakhs Namaz chhoda usne shirk kiya ,
[Tirmizi]
[Ibn Maazah]
[8] - Abu Saeed raz"se riwayat hai ke , Hum log masih Dajjal ki baat kar rahe the , to Nabi saw"aaye or farmane lage ke Main saw"baatao ke Dajjal se zayada Main saw kis baat se daar ta hun , Sahaba raz"ne farmaya zarur baatain ki Aap saw Dajjal se zayada kis baat se darte hai , to Nabi saw ne farmaya ke woh chupa hua shirk hai yani Riyaa Dekhawa ke Banda Namaz ke liye khada hua or kisi ko dekha ne ke liye Namaz paade Allah ke samane khada hoke Bando ka razamandi hasil kare ye shirk hai ,
[Bukhari]
[Ibn Maaza}yeh hadees Hasan hai]
[9] -Nabi saw"ne farmaya ke jo shakhs Bad shagun liya usne shirk kiya , [Abu Daood] [Tirmizi] [Ibn Maazah] [Taabrani]
[10] - Nabi saw"ne farmaya jisne Kaahin or Araaf ke paas jaye or uski baat maanli to usne Mujh par jo kuch Nazil hua hai usne inkaar kiya or yeh shirk hai ,
[Mushnad Ahmad]
[Hakim]
[11] - jisne Allah ke Aalawa Qasam khai usne shirk kiya ,
[Bukhari]
[Muslim]
[Tirmizi]
[Hakim]
[12] -Abdullah bin Juber raz"ne farmaya ke Umer faroque raz or main , Ghooda ki race lagai to main unse aage nikal gaya to maine kaha Kaaba ki Qasam main aage nikal gaya , fir Umer raz"mujhse aage nikal gaye to Umer raz"ne kaha Kaaba ke Rab ki Qasam main jeet gaya , fir Umer raz"mujhe maarne ko aaye or kaha ke Tum Kaaba ki Qasam khata hai , yeh shirk hai ,
[Bahqi]
[Sunan Al Kubra, yeh hadees sahi hai]
[13] - Abdullah bin Hubaira raz"kahte hai ke Ali raz bin Talib kahte hai ke Taweez latkana jahiliya ka tarika hai , yeh shirk hai ,
[Jame Bil Hadees]
[Abdul Wahab, ye hadees sahi hai]
[14] - Qaish bin Hasal Ashadi raz"kahte hain ke Abdullah bin Masood raz"apni biwi ke paas gaye to dekha ke unki biwi Bhukhar ke waja se Gale mein Taweez pahne hue hain , to Abullah bin Masood raz"bohat gusha mein aa gaye or use thood diya fir kaha Abdullah ke ghar wale shirk se Ganni hai Shirk ke mohaaz nahi hai , or kaha ke hum ne Nabi saw"se shikha hai ke Mantaar , or Taweez , Gannde , or Paliten ye sab shikh hai ,
[Hakim, is hadees ka sanad sahi hai]
[15] - Hudaifa raz"ek mariz Bimaar, ke paas gaye or dekha ke uske haat mein ek Taweez hai , to Hudaifa raz"us Taweez ko nikal diya or kaha ( Tum mein se aksar log Allah par Imaan lane ke baad Allah ke saat shirk karte hai,
(Surah 10 yunus aayat no 106 ) ,
[Ibn Abi Hatim, apni tafseer mein riwayat kiya hai,]
[16] - Hudaifa raz ek Bimar mariz ke paas gaye iyadaat ke liye to dekha ke uske haath mein ek Dhagha bhadha hua hai , use puchha ke yeh kiya hai to usne kaha is par Dham kiya gaya hai , to Hudaifa raz"us Dhagha ko khaat diya or kaha ke agar tu is halat mein maar jaata to main teri Janaaza ki namaz nahi padth Q ki ye shirk hai ,
[Ibn Abi Saiba]
[17] - Abu Dardah raz ne farmaya ke Mujhse mere Khalil yani Nabi saw ne farmaya ke agar tujh ko jala diya jaye ya khaat ke thukde thukde kar diya jaye fir bhi Allah ke saat kisi ko shareek na karna ,
[Ibn Maazah]
[18] - Abdullah bin masood raz ne farmaya ke jab ( surah 6 al-An'am, Aayat no 82 , jo log Imaan laye or apne Imaan ko zulm se mahfooj kiya unke liye aman hai or wahi hidayat pane wale log hain ,) nazil hue to hum log paresan ho gaye ke koun hai jo apne par zulm nahi kiya hoga , to hum log Nabi saw ke paas gaye or kaha ke koun hai jo zulm nahi kiya hai to Nabi saw ne Farmaya ke jo tum log zulm samajh rahe ho waisa nahi hai Zulm se murad woh zulm hai jo
( Luqman ne apne bete ko nasihat karte hue kaha ke beta Allah ke saath kisi ko Shirk na karna , shirk to bada zulm azeem hai ,"
(Surah:31,Luqman: Aayat No.13)
Nabi saw ne farmaya is shirk se jo bacch gaya to uske liya aman or salamati hai ,
[Bukhari]
[Muslim]
[19] -Hz Maazh ibn jabaal raz ke martaba Nabi saw"ke saamne sajdah kiya to Nabi saw ne kaha aye maazh yeh kiya kar rahe ho , to maazh raz"ne kaha mein jab sham gaya tha to dekha ke woha ke log apne bado ko sajdah karte hai , to maine khayal kiya ke hum log bhi Nabi saw"ko sajdah karege to Nabi saw ne farmaya ke agar tazeem ka bhi sajdah jaez hota to main hukm deta ke Aurat apne Mard ko sajdah karti lekin kisi basar ko sajdah jaez nahi ye shirk hai ,
[Ibn Maazah, ye hadees sahi hai]
[20] -Hz Abu Huraira raz"riwayat karte hai ke Nabi saw"ne farmaya ke us waqt tak Qayamat nahi aaegi jab tak meri ummat ke kuch kabila Qaum mushriken ke saath mil ke but ka ibaadat na kare or jab tak ke meri ummat Qabr parastish na kare ,
[Bukhari, Kitab ul Fitnah:7116]
[Muslim 906]
[Musnad Ahmad 350]
[Abu Daood 4202]
[Ibn Maazah 3952]
[Tirmizi 2219]
[Hakim 4/496]
[21] -Hz Aayesha raz"farmati hai ke agar iska daar na hota to Nabi saw"ka Qabr khuli rahti or Hujra mein na hoti lekin mujhe is baat ka daar hai ke Nabi saw ki Qabr ko bhi kahi ibaadat gaha na bana liya jaye ,
[Bukhari, 1330]
[22] - Nabi saw"ne farmaya: Jo shakhs ghairullah ko pukaarta aur us se Du'a aur pukaar karta mar jaye, toh wo JAHANNAM me jayega ,
[Bukhari, 4497]
[23] - Hz Abu Bakr(raz) se marvi hai ke Rasool(saw) ne farmaya: Kya Main tum ko sab se bada kabira gunah na bataon?
Aap(saw) ne aisa 3 baar farmaya, toh hum ne kaha ke aye Allah ke Nabi saw! Kyun nahi, Aap hume zaroor batayein , Aap(saw) ne farmaya: Allah ke saath kisi cheez ko sharik karna ,
[Bukhari:2511]
In sari dalaeel par agar kisa ka koi ateraz hai to daleel ke roshni mein wazeh kare to insha allah hum apni islah kar lenge ,
Allah se Du'a Hai ke Hum ko Ghar walon ko Aap logon ko or Sare Musalmano ko Shirk Karne o Karene wale se Allah Apne Panah Mein Rakhe ,
Ameen Ya Rabbil Aalameen ,
Posted By - Aabdur Rahim Shah , -id ,aanaahlehadees@yahoo.com
0 comments:
Post a Comment