Sunday, December 20, 2015

HIJAMA-EK SUNNAT ILAAJ

HIJAMA Ek Sunnat Ilaaj


  • Hijama ek unani ilaaj hai jis ke zariye jism se kharaab khoon nikaal diya jaata hai baghiar koi dard, dawa aur side effect ke.
  • Hijama sunnat e Rasool SAWS aur Unani tareeqa e ilaaj hai.
  • Hijama karwana ya lagwana Huzoor SAWS ki sunnat hai yani khud Aap SAW hijama karaya karte aur apni Ummat ko bhi uski targheeb bhi dete. Irshaad e Nabawi SAWS hai “ behtareen ilaaj jisay tumkartay ho hijama hai.( Sunan Abi Dawud 3857 )
  • Aur Hijama mein 72 bimaariyon se najaat milti hai ( TIBRAANI )
  • Aur Hijama ke liye chaand ki 17, 19 , 21 tareeq (date) ikhteyaar karayga use har bimaari se najaat aur shifa hogi.In shaa ALLAHH. ( Sunan Abi Dawud 3861 (Hasan) )
Koi Bimari Laa Ilaaj nahi. ALLAH SWT ke Fazal se har Bimari ka Ilaaj moujud hai.
Nabi (ﷺ) ne Farmaya ALLAH Ta’ala ne Duniya me koi Bimari aisi nahi utari jiski Dawa aur Shifa mOujud na ho.[Sunan Abu Daud, 28:3846].
Hazrat ibne Abbas (rz) Huzur akram (ﷺ) se riwayat karte hai,
Aap (ﷺ) ne farmaya shifa teen chizo me hai,
  1. Hijama ke zariye cut lagane me.
  2. Shahed ke istemaal me.
  3. Aag se daagne me, tahumm mai apni ummat ko aag ke daagne se rokta hun.
(Sahih al Bukhari 5781)

Hazrat Jabir (r.z) Huzur akram (ﷺ) se riwayat karte hai,
Aap (ﷺ) ne farmaya agar tumhari dawao me kisi dawa me shifa hai toh
Hijama ke zariye cut lagane me hai,
yaa shahed ke istemaal me,
yaa phir aag se daagne me ,
(basharteke) ye daagna oos marz ko raast aajaye,
lekin mai aag se daagne ko pasand nahi karta.
(Sahih al Bukhari 5783)

Hazrat Anas (rz) farmate hai ke Rasool (ﷺ) ne farmaya :
Sabb se bahetreen dawa jissay tumm ilaaj karo who Hijama lagwana hai aur qustool bahri (samandari jadi buti) se ilaaj karna hai.
(Sahih al Bukhari 5797)

Hazrat Jabir (rz) ne hazrat Muqanna(rz) ki iyaadat ki aur farmaya ke
jab tak tum hijama na lagwalo, mai wapas nahi jaonga. isliye ke maine nabi kareem (ﷺ) se suna hai k Hijama lagwane me shifa hai
(Sahih al Bukhari 5797)

Hazrat Samrut bin Jundabb (rz) farmate hai ke
Huzoor akram (ﷺ) ke paas bani Fazara qabile ka ek dehati aaya. Us waqt Aap (ﷺ) ko ek Hijama karne wala Hijama kar raha tha, pass Hijama karne wale ne blade se cut lagaya tov dehati ne (tajjoob se ) poocha.
Aye Allah k rasool (ﷺ) ! yeh aap kiya kar rahe ho ?
Aap (ﷺ) ne irshaad farmaya yeh Hijama hai, yeh un sabb ilaajo se bahetar hai jo log ikhtiyaar karte hai.
(rawa an-nasaai)

Hazrat Maalik bin Saasa (rz) famate hai ke
Nabi akram (ﷺ) ne farmaya ke Meraaj ki raat mera farishto ki jiss jamaat par bhi guzar hua ,unhone mujhe Hijama se ilaaj karane ko kaha.
(Tibrani)

Hijama ke zariye ilaaj karne se inn bimario me faida hota hai.
  1. Khaas tor se sir ka dard
  2. Dipression
  3. Khandoh ka dard
  4. Blood pressure
  5. Kaan ke andar aawaaze aana
  6. Saher (jaadoo)
  7. Ghutno ka dard Tenshion ki wajah se sir dard
  8. Shaqiqa (migraine)
  9. Gurdo ka dard
  10. Sir me chakkar aana
  11. Kamar ka dard
  12. Falej
  13. Thakaan
  14. khoon ki gardish ko bahetar karne k liye
  15. pet ka dard
  16. sine ka dard
  17. Khansi
  18. Mardaana taqat ke liye
  19. Qabz
  20. B.P
  21. T.B
  22. Aurton/Mardon ke poshida amraz
  23. Cancer
  24. Dil ke Amraz
aur bahut si badi chhoti bimariya jinki lambbi fahrist hai,lehaza tamam Amraz ka Ilaaj Hijama me moujud hai. Subhan Allahhh.
Humne yahan Ahadees ke hawale diye hain. Aur ye aisi Sunnat hai jo mit rahi hai, Kuch logon ko iske baare me bilkul bhi pata nahi hai. Hum sab ko is Sunnat ko phir se aam karna hai. Iski hum sab ko koshish karni hai in shaa Allah.
Tirmidhi Hadith 59 me likha hai :
jisne meri Sunnah se muhabbat ki usne mujhse muhabbat ki aur jisne mujhse muhabbat ki wo mere sath rahega jannat me. Aur ye dekhiye ke China walo ne is sunnat ko “chinese therapy” naam de kar is se logon ka ilaj kar rahe hai.
for mOre details see- : https://blogger.googleusercontent.com/img/b/R29vZ2xl/AVvXsEgYwFIE5KFYooyv38SduVcfgPs20SIzI7wrdm_2it9fvRSaNOlqyHku0uslDlPt6MVKd5IUUckvbvpd4heP34guWEym7UMuVedWfyPTvyxJZJrkgIYy0tD7-aFq79pFkGzt9Bxiey4Ss7NG/s1600/15g7acl.gif
Zyada se zyada is paigam ko aam karne ki koshish kare.
Wallahu Aalam-

Postedd by : A.Sayed

1 comment: