" Maine Maisara Se Pucha Ap Ye Hadith Kaha Se Late Hai Ki Agar Fala'n Fala'n Chez Padhe To Uske Liye Yah Sawab Hai Etc. To Usne Jawab Dia Ki Ye Bate Mere Apni Gadhi Hui Hoti Me Is Tarah Logo Ko Bhalai Aur Neki Ki Tarf Bulata Hu"2:Apne Mazhab Ki Taeed Wa Badhawa: Shiyasi Wa Mazhabi Giroh Ke Wazud Ke Bad Jese Khwarij Aur Shia etc, Har Giroh Ke Logo Ne Apne Mazhabi Ki Taid Wa Badhawe Ke Liye Hadithe Gadhi Jese Ki Riwayat Hai Ki Ali Logo Me Sabse Behtreen Hai Aur Jo Isme Shak Kare Wah Kafir Hai 3: Deen Islam Par Bohtan Lgana Zindiq Log Jab Islam Me Kisi Aur Tarah Khule Taur Par Bigad Paida Na Kar Sake To Khufiya Taur Par Unhone Yah Ray Apna Li Aur Phir Bahut Si Gandi Aur Napasndida Bate Haditho Wa Riwayat Ki Shakl Me Logo Ke Andar Faila Di Phr Unhi Ki Buniyad Par Islam Ko Badnam Karne Lage Jese Muhammad Bin Saeed Shami Ek Mashhoor Zindik Tha Uske In Bure Kamo Ke Bina Par Hi Ise Suli Par Latkaya Gaya Aur Phir Wah Alamsalub Kahlaya Iski Gadhi Hui Ek Riwayat Is Tarah Hai
Jo Wo Anas r.a Se Marfu'an Zikr Karta Tha Me Khatimunnbiyyeen Hu Mere Bad Koi Nabi Nahi Yah Yeh Ki Allah Chahe
4: Waqt Ke Huqmran Se Qarib Hona Kuch Kamzor Iman Wale Log Waqt Ki Huqumat Ki Chaht Ke Liye Kuch Riwayte Gadh Kar Unke Samane Byan Karte Aur Unhe Khush Karke Unke Yaha Apna Darza Badhane Ki Koshis Karte The Jese Ghayas Bin Ibrahim Nakhaee Kufi Uska Mashhor Waqya Hai Ki Jo Amirul Momineen Mehandi Abbasi Yaha Pesh Ayi Ye Sakhs Jb Khalifa Ke Yaha Gaya To Dekha Ki Wah Kabutaro Se Khel Raha Hai Usne Jate Hi Apni Sanad Se Rasul s.a.w Tak Ek Gadhi Hui Hadith Sunai Jo Is Tarah H
Aap Rasul s.a.w Ne Farmaya Muqabla Sirf Nezabazi ,Oont Daud , Ghore Ki Daud , Aur Pairdo(kabutar etc) Me Hi Jaiz Hai"Gayas Ne Is Riwayat Me Parindo Ke Par Ya Kabutar Ke Lafz Apni Tarf Se Badha Diye The Khalifa Khush Ho Gaye Magar Mehndi Ko Is Gadhi Hui Hadith Ka Pata Chal Gaya Usne Kabutaro Ko Zabah Karne Ka Huqm Dia Aur Kaha Mene Is Shaks Ke Ye Gadhe Huwe Alfaz Rasul s.a.w Ke Farman Se Jydati Karne Par Ubhara Hai 5: Riwayto Ka Bayan Rozgar Ka Zariya Bana Lena Kuch Qissa Sunane Wale Log Awam Me Aisi Jhuti Riwayat Bayan Karte Jinme Azib Sa Raz Hota Aur Is Tarah Wah Chahte Ki Log Unki Mahfilo Me Bethe Aur Nazrane Pesh Kare Abu Saeed Madayani Ka Nam Inhi Me Shamil Hai 6: Mashhoor Hone Ki Chahat Kuch Log Aisi Aisi Anokhi Riwayte Bayan Karte Hai Ki Wah Kisi Aur Ke Pas Nahi Hai, Ya We Sanade Badal Dete Taki Log Unki Taraf Maaeel Ho Aur Unki Mashhuri Ho Jese Ibne Abi Dahya Aur Himadunnasib
HWALE- Taiseer Mustalhul Hadith Tabreeb Ravi Jid 1 Page Page 282, 284, 286
0 comments:
Post a Comment