Hamare muashre me ek galat famy hai ki hamare ilm me ye hai ke Qayamat ke Din RasoolAllah (ﷺ) apne har ummatio ki shifarish karenge jab ki agar ham sahih hadith padhte to is ke bilkul ulti baat hame pata chalegi.
Qayamat ke din jo Allah ke sath auro ko shareek karege (auro ko pukarega ya auro ke aage sajda karega) uski shifarish RasoolAllah (ﷺ) nahi karenge:
Hazrat Abu Huraira Radhi Allah Anha Kehte Hain
Rasool (ﷺ) Ne Farmaya, Har Nabi ke liye ek Dua aisi hai Jo Zaroor Qabool hoti hai tamam Ambiya ne woh Dua Dunia main hi maang li, lekin main ne apni Dua Qayamat ke Din apni Ummat ki Shafa’at ke liye mehfooz kar rakhi hai, meri Shafa’at in shaa Allah har us Shakhs ke liye hogi jo is haal main mara ke usne kisi ko Allah SWT ke sath Shareek nahin kiya.
[Sahih Muslim, Kitab Al-Imaan, Hadith 399]
Qayamat ke un unlogo ki bhi sifarish RasoolAllah nahi karenge jin logo ne Deen me nayi nayi baato ka ijaad kiya hoga matlab jinhone biddat kiya hoga:
RasoolAllah (ﷺ) Hauz-e-Kausar say apne ummatio ko pani pila rahe honge aur unhe rok dia jaega, inko bhi Nabi (ﷺ) yehi samjhaenge ke yeh to meray farmabardar ummati hain lekin Aap (ﷺ) ko mutla’ kia jae ga ke ‘Ae Nabi (ﷺ) Aap nahi jantay ke inho ne Aap ke jane ke bad kya kuch kiya, inhon ne Aap ke baad Deen me Nayi Nayi cheeze nikal li thin. to
Aap (ﷺ) farmaenge “In ke liye (rahmat se) duri ho! In ke liye duri ho! Jinho ne mere baad Deen ko badal dala.”
[Sahih Bukhari, Vol.8, kitab ur-Riqaaq, Hadith- 6584].
Is hadith se ye malum hua ki Qayamat ke din Biddatio ki bhi sifarish RasoolAllah nahi karenge. Allah se dua hai ki Allah hame biddat aur shirk se bachae aur wahi Deen par amal karne ki Taufeek ata kare jo Deen RasoolAllah chhor kar gae the. aameen.
0 comments:
Post a Comment