Tuesday, August 18, 2015

kya nabi ko ilme ghaib tha

Bhaioo/Behno, waisay to aik hawaala hi kaafi tha sabit kernay k liay kiunki deen k muamlay mein humaara rawayya سمعنا و اطعنا “hum nay suna aur hum nay ata’at ki” waala hoona chaaheyay. Aur mukhalifaana aur jhagray waala andaaz k سمعنا و عصينا “hum nay suna aur hum nahein maantay” waala nahein hoona chaheyay. Jaisa k Quran mein kitni piyaari ayat hai:

Quran
Mominon ki baat to yahi hoti hai k jab unhein Allah aur Uss k Rasool (ﷺ) ki taraf bulaaya jaata hai ta-k wo un k darmian faisla karay to wo kehtay hein k hum nay suna aur maan lia aur wohi loog nijaat paanay waalay hein.” ( Surah Noor, 24:51 )
Ghaib k silsilay mein Rasool Allah (ﷺ) k mutalliq main yahaan 2 zamanoon ka zikar karenge jo k 2 posts per mushtamil ho ga ( إن شاء الله ):
  1. Nabuwwat se pehlay ka Zamaana.
  2. Nabi bananay se lay ker Faut honay tak ka Zamaana
Quran mein in maqamaat per Allah ne farmaaya hai k Nabi bananay se pehlay Rasool Allah (ﷺ) ko in batoon ka ilm na tha:
Quran
Aur issi tarha Hum ne apnay hukam se aik rooh taire taraf bhaije, tujh ko ye bhi maloom nahein tha k kitaab kia cheez hai aur na emaan, maloom tha laikin Hum ne quran ko aik noor banaaya, Hum apnay bandoon mein se jis ko chahatay hein iss quran se rah per laga daitay hein aur bay-shak aap seedhi rah ki taraf rahnumaee kertay hein.” ( Surah Shuraa, 42:52 )

0 comments:

Post a Comment