::IMAM e AAZAM:: (Abu hanifa)
Assalamu Alaikum wa Rahamatullah wa Barkatahu
Aaiye aaj dekhte hain ke imam Abu hanifa ko mohaddasin kis wajah se pahchante the , pahle hum farman e rasool yani hadees dekhte hai.
Rasoollallah Sallallaho alaihey wasallam ne farmaya "wo shaksh jannat mein nahi jayega jiska humsaya (padosi) uskey aeiza resaniyon (Taqleefon) se mehfooz na ho."
[Sahih Muslim, 58]
Aap logo ne Hadees padh kar ye andaz laga liya hoga ke main "Imam E Aazam" Abu Hanifa ke zindagi ki kuch anchuyee pahlu ko aap ke samne rakh raha hoon,
Imam E Aazam ka apne padosi ke saath kaisa husn e akhlaq tha. ya u kahein ke Abu Hanifa ko muhaddisin kis wajah se pahchante the.
Dosto har sakhs ki ek pahchan hoti hai jiske jariye ham ek dusre ko yaad karte hai, aur jiski wajah se ehsas hota hai ke kisme kitni khubiya'n ya khamiya hai, sach to yahi hai ke hamara parosi hi hamari sakhsiyat ka akkashi karta hai,agar hamara rishta padosi ke sath achha hoga to ham achhe hai, warna bure insan hue.
Khud Aap (s.a.w) ko
Allah ne parodisiyo ka itna khayal rakhane ka hukam diya ke
Aap (s.a.w) ko guman hone laga ke , allah paroshiyo ko waris bana denge.
To dusri taraf HANIFIYO ke Imam E Aazam yani imam abu hanifa kisakhsiyat bilkul ulat hai. Itni alag ke shayad aap pahchan na paaye ke imam aisa bhi ho sakta hai, kazi sharik se riwayat hai ke ,ham log imam abu hanifa ko apne padosiyo se jhadga karne ki wajah se pahchante the... Aksar aisa hota ke wo jagda karte hue najar aate the, aur
Walid Bin Muslim ne kaha jo ke main Abu Hanifa ka padosi tha, main uske jhagde se tang aake uska pados me rahna chhod diya. Aur ek dafa aisa hua ke imam malik mujhse mile, to unhone kaha ke kya tumhare shahar me Abu Hanifa rahta hai, maine kaha haa to unhone kaha ke tumhare shahar me rahna munasib nahi hai...
[Zua'fa wal Matrakun jild 1/224]
Ab to aap logon ko "Imam E Aazam" ka padosiyon ke saath kis tarah ka husne salook tha pata chal gaya hai ......
Afsos phir bhi inhe Aazam ke laqab se nawaza gaya ..?
Allah pak hum musalmano ko apne padosiyon ke saath achhe husne salook ke saath rahne ki toufiq dein ... AAMEEN
0 comments:
Post a Comment