Thursday, July 23, 2015

SEENE PAR HAATH BAANDHNE KI DALEEL AUR AHNAAF KI GHAR KI GAWAHI

SEENE PAR HAATH BAANDHNE KI DALEEL (WITH SCAN)

Kaano Ya Kandho Tak Hanth Utha Ker Baya Hanth Per Dahena Hanth Rakh Ker Seene Per Bandh Lena.

Hazrat Sahil Bin Saad Anshari R.A K Bayan Hai : كان الناس يؤمرون أن يضع الرجل اليد اليمنى على ذاراعه اليسرى في الصلاة
"Logo Ko (Rasullah Sallahu Alaihe Wasallam Ki Taraf Se) Ye Hukm Keya Jata Tha K Aadmi Namaz Me Daya Hanth Ko Baya Hanth Per Rakhe" ( Sahi Bukhari Sareef Jild-1, Safa-679,Baab No-87,Hadees No-740 )
Sahi Bukhari :Scan...LINK PAR CLICK KARE
Hazrat Abdullah Bin Masood R.A Kahte Hai Ke Maine Dahene Hanth Per Baya Hanth Rakh Ker Namaz Pad Raha Tha , Rasullah Sallahu Alaihe Wasallam Waha S3 Guzre Tou Apne Mera Daya Hanth Paker Ker Baye Hanth Per Rakh Deya. ( Ibn Maza Safa-59,Abu Daood 1/117 )
Note : Esko
Abudaood (755)
Ibn Maza (811)
Nishai (888)
Baza'r (1885)
Abu Yali (5041)
Darekutni (1105,1107)
Aur Bahqi (2327) Ne Rewayat Keya,
Imam Nawawi R.Al Ne Almazmoo (3/321) Me Kaha Hai K Eske Sanad Muslim Ki Sart Per Sahi Hai.

Ye Seene Per Hanth Bandne Aur Na Bandne K Masla Ve Humare Aur Apke Darmiyaan Mukhtalif Fae Hai Aur Es Masle Me Ve Aap Hazraat Hum Ko Galat He Samjhte Hai,Kuki Apke Moulwio Ne Ese Tarah Samjha Deya Hai Aur Sacchi Baat Gool Ker Gaye Hai, Es Leye Pahle App Hum Mazlumo K Dalill Dekhe Aur Fer Apke Maslak Me Khud Aap K Leye Es Masle Me Tahkek Hai Ese Ve Mulahiza Farmaye , Fer Ho Sake Tou Es Nafrat Ko Dil Se Nekaal De , Kuki Musalman Bhai Ki Yahi Pahchan Hai Aur Yahi Saan Hai.

[1]
عن قبيصة بن هلب عن اًبيه قال رسول الله صلى الله عليه وسلم ينصرف عن يمينه وعن يساره ورأيته يضع يده على صدره....الخ Qabisa Bin Halab Apne Baap Se Riwayat Karte Hai Ke Unho Ne Kaha Mai Ne Rasul(Saw) Ko Salaam Ke Baad Daayein Baayein Phairte Huye Dekha Aur Mai Ne Aap Ko Seene Par Haath Baandh Te Huye Dekha. ( Musnad Ahmed Jild-10,Safa-326,Had­ees No-22313 )
SCAN...LINK PAR CLICK KARE

Note : Es Hadees Ki Sanad Me Qabisa Bin Halab Hai,Ali Bin Madni Aur Nishai Ne Ese Mazool Kaha Hai,
Hazle Ne Seka Aur Ibn Hibban Ne Seka'at Me Zekar Keya Hai.
Mulahiza Ho: Mizaan Ul Eteda'al (3/384)
Tahzeb Al Tahzeeb (8/380) Es Hadees Ki Sanad Agerche Zaif Hai,Leken Aage Aane Waale Hadees Ibn Kuzaima Ki Hadees K Leye Ye Sahadat Banne K Kabil Hai.

[2]-Imam Bahqi Apne Sunan Kubra Me Ye Hadees Laaye Hai.
Hazrat Wayil Bin Hajar(Ra) Kehte Hai Ke Mai Rasul(Saw) Ke Paas Hazir Hua, Aap(Saw) Masjid Ki Taraf Khade Huye Mehrab Me Dakhil Huye, Phir Aap(Saw) Ne Allahu Akbar Ke Saath Haath Uthaya, Phir Aap(Saw) Ne Daaya Haath Baaye Haath Par Rakh Kar Seene Par Baandh Liya. عن واىٔل بن حجر قال حضرت رسول الله صلى الله عليه وسلم حين نهض إلى المسجد ,فدخل المحراب ثم رفع يد يه بالتكبير ثم وضع يمينه على يسراه على صدره ( Baihaqi Jild-1,Safa-46,Hadee­s No-2335,2336 )
SCAN...LINK PAR CLICK KARE

Note: Zaif ne,Esko
Bazer(4488)
Tabraani Ne Al Moazaam Al Kaber (22/44) Me,
Ibn Adi (7/346) Ne Rewayat Keya Hai.
Zair Hadees Hai.Dekhe Al Zaeefata (449)

[3]- Tesre Rewayat Humare Nazdeq Sahi Marfu Mutsal Aur Gair Saaz Sahi Ibn Khuzaima Ki Hai Jo Bulugul Maram Me Hai :
Hazrat Wayil Ibn Hajar(Ra) Kehte Hai Ke Mai Ne Rasul(Saw) Ke Saath Namaz Padi, Aap(Saw) Ne Apna Daaya(Right) Haath Baaye(Left) Haath Par Rakh Kar Seene(Chest) Par Baandh Liya. عن وائل بن حجر قال صليت مع رسول الله صلى الله عليه وسلم فو ضع يده اليمنى على يده اليسرى على صدره ( Sahih Ibn Khuzaimah; [Jild-1, Safa-243,Hadees No-749 )
SCAN...LINK PAR CLICK KARE

( Bulugul Maram Jlid-1,Safa-142 Se 143,Hadees No-217 ) SCAN...LINK PAR CLICK KARE

Note: Sahi Hai. Esko
Abu Al Shaikh Ne Tabkaat Al Muhaddisen (2/268) Me Ve Rewayat Keya Hai. Es Sanad Me Mommal Bin Ismaeel Hai,Josi Al Hafiz Hai.Altaqreeb(Safa-5­55) Abuzer Ne Kaha Hai K Uske Ahadees Me Bahut Galtiya Hai,Bukhari Ne Ese Munkir Ul Hadees Aur Yahiya Bin Moeen Ne Sika Kaha Hai,Mizaan Ul Aitdallal(4/228).

Ye Sanad Agerche Zaif Hai,Leken Dusre Ahadees Eske Sahadat Hai Jinke Bina Per Ye Hadees Sahi Hai.

Unme Se Ek Qabisa Bin Halab Hai,Jiska Jiker (Number-1) Me Guzre. Aur Dusre Taus Ki Hadees Hai,Jisme Hai.  كان رسول الله صلى الله عليه وسلم يضع اليمنى على يده اليسرى ثم يشد على صدر وهو فى الصلاة Esko Imam Abu Daood Ne Apne Sunan Abu Daood (759) Me Nakal Keya Hai.
SCAN...LINK PAR CLICK KARE.

Aur Merasel (33) Me Rewayat Keya Hai.Eske Sanad Jaid Hai. Ye Hadees Agerche Mursal Hai,Leken Kabil E Hujjat Hai,Kuki Ye Dusre Trk Se Mousul Ve Marwi Hai,
Jaise K Wayil Ibn Hajar (R.A) Aur Qabisa Bin Halab Ki Hadees Hai. اًصل صفة صلاة النبى ( ١ / ٢١٥ - ٢٢٥ )
أحكام الجنائذ ( ص ١١٨ )
صحيح أبي داود -الأم ( ٣ / ٣٤٥ , ٤ / ٢٠٦ )
القول المقبول للشينح عبرالروٓف (ص ٣٣٩ - ٣٤٣ )
SCAN...LINK PAR CLICK KARE..

Ye Hadees Tabraani Me Ve Hai Aur Ahnaaf Ki Sabse Bade Kitab Hidaya Arbi Jild-1 Kitab Al Salat Safa-82 K Hasiya Number 22 Me Ve Hai Aur SABIL AL ISLAM Jild-1/159 Me Ve Hai.
Mulahiza Ho: ١ - المعجم الكبير للطبرانى ( ٢٢ / ٦٩ )
٢ - البنا ية شرح الهداية ( ٢ / ١٨٢ )
سبل السلام : باب السنة وضع الصدر فى الصلات ( ١ /٢٥٢ )

[4]- Bahqi Aur Ibn Abi Hatim Me Hazrat Ibn Abbas R.A Se Ve Seene Per Hanth Bandhne K Ek Asr Warid Hai (Zaif Hadees) Abdullah Ibn Abbas R.A K Ye Asra Sureh الكوثر K Akhri Jumla { وَانٔحَرْ } Ki Tafseer K Selsele Me Marwi Hai.
Esko Bahqi (2339) Ne Rewayat Keya Hai.
SCAN...LINK PAR CLICK KARE.

Eske Sanad Ruh Bin Almuseeb Ki Wajah Se Zaif Hai.
Bahqi K Elawa Esko Ibn Hatim , Ibn Sahen Ne " السنة " Me ,Aur Ibn Mardueya Ne Ve Rewayat Keya Hai.
Mulahiza Ho : الررالمثوطى ٨/٦٥٠

Zeer-E-Naaf Per Hanth Ki Rewayat Musnad Ahmed Or Abudaood Me Ve Hai,Leken Khud Un Dono Muhaddiso Ne Un Rewayato Ko Marfu Ya Sahi Nahi Maana Hai,Balke Zaif Karar Deya Hai.

Hazrat Ali R.A Se Marwi Hai K Unhone Kaha : "من السنة وضع الكف على الكف فى الصلاة تحت السر" ( Musnad Ahmed (875), ( Abu Daood (756), ( Ibn Abi Saiba (3945), ( Darekutni (1102,1103) Aur ( Ibn Almanzer Alla Wata (1290) Me Rewayat Keya Hai.
Eske Sanad Me Abdul Rahman Bin Ishaaq Wastai عبرالرحٰمن بن اسحاق واسطى Hai ,Jo Bila Ittefaq Zaif Hai. Imam Ahmed Aur Abu Hatim Ne Ese Munkir Ul Hadees ,
Yahiya Bin Moeen Ne Zaif ,Matrooh,Aur
Bahqi Ne Matruk Kaha Hai,

Ese Aur Muhaddis Zaif Kahne Wale. 1-Ibn Sayed Ne Zaif Kaha.
2-Yakub Bin Sufiyan Ne Zaif Kaha .
3-Imam Abu Daood Ne Zaif Kaha .
4-Imam Nishai Ne Zaif Kaha .
5-Ibn Hibban Ne Zaif Kaha
Aur Imam Bukhari Ne Kaha "فيه نظر ".

Mulahiza Ho : الكامل لابن عدى ( ٥/ ٤٩٥ )
تىٕذيب التىٕذيب( ٦ / ١٣٧ )
الضعفاءللبخارى ( ترجمه نمبر ٢٠٨ )
الضعفاء للنساىٓ ( ٣٥٨ )
الجرح والتعديل ( ٥ /٢١٣ )
Imam Nawawi Ne Sareh Nawawi (4/115)
Khulasa Ala Ahkaam (1/359) Aur
Al Mazmoo (3/313) Me Kaha Hai K Es Hadees K Zaif Hone Per Ittefaq Hai,
Eske Sanad Me Abdul Rahmaan Bin Eshaaq Alwasti Hai,Jiske Zaif Hone Per Ima Zarrah Wa Tadeel Muttfiq Hai.
Es Hadees Ko Rewayat Karne Me Abdul Rahmaan Bin Eshaaq Alwasti Mutafird Hai , Aur Ese K Sath Sanad Me Sakht Esteraab Ve Hai.
Abdul Rahman Bin Eshaaq Alwasti Kavi Es Tarah Rewayat Karta Hai : حدثنى زياد بن ذيد اليوائ عن أبى جحيفة عن علىِ Jaisa K Ahmed(875)
Darekutni(1102)
Abu Daood(756) Aur
Bahqi (2341) Me Hai.

Aur Kavi عن النعمان بن سعد عن علي Jaisa K
( Darekutni (1103), Aur ( Bahqi (2342) M3 Hai. Aur Kavi عن سيار أبى وائل عن أبي هريرة Jaisa K
( Abu Daood (758), Aur ( Darekutni (1098) Me Hai.

Es Kisam Ka Esteraab Ager Sika Rawi Ki Taraf Se Ve Ho Tou Hadees Ko Zaif Ke Deta Hai , Yaha Ye Tou Esteraab Ayse Raawi Ki Janib Se Hai Jo Bila Ittefaq Zaif Hai,Yaani Abdul Rahmaan Bin Eshaaq Wasti .

Hafiz Ibn Hazer Ne bhi is Hadees Ko Zaif Kaha Hai.
Fatulbaari(2/224) Alriyata (1/128)

Imam Bahqi Farmate Hai Ke تحت السرة Waali Rewayat Ki Sanad Sabit Nahi Hai, isme Abdul Rahmaan Bin Eshaaq Wasti Mutafird Hai,Aur Wo Matruk Hai. ( Nasab Alriyata (1/314), Altakhlish(1/490), Marifat Alsunan (2/2340)
SCAN...LINK PAR CLICK KARE.

daleel #06
Hazrat Abdullah Bin Abbas R.A Rasool Allah (s.a.w) Ke Chacha Jaat Bhai Hai, Aap Ne Unke Leye Dua Ki The K !
Aye Allah Tu Apne Kitab Ke Elm Abdullah Ko De,
Ese Dua K Aser Tha K Ibn Abbas R.A Es Ummat K Sabse Bade Mufassir Quraan Maane Gaye,Unhone Seene Per Hanth Bandhne Ki Dalill Quraan Mazeed Se Le Hai,

Chunche Sureh Kousar Ki Ayat { فَصَلّ لِرَبَّكَ وَانٔحَر } K Maene Ye Lete Hai K
"Apne Rabb K Leye Namaz Padh Aur Namaz Me Seene K Valaii Hissa Per Hanth Bandhe." Note: Ye Zaif Hai,Eske Jikar Number 4 Me Guzar Chuka Hai.

Tafseer Khazana Me Hai:وقال ابن عباس فصل لربك وانحر أي ضع يدك اليمنى على اليسرى في الصلاة عند النحر ( Mulahiza Ho Tafseer Khazana Akhri Safa 253,Matbua Msr ), ( Tafseer Al Khazana 4/483 )

Ese Safa K Haseya Me Tafseer Mallam Al Tanzil Ki Ibarat Es Tarah Hai.
Hazrat Ibn Abbas R.A Kahte Hai ke فَصَلِّ لِرَبِّكَ ka Matlab Hai K Namaz Me Daya Hant Baye Hanth Per Rakh Ker Seene K Valai Hesse Per Bandhe. وروي عن أبي الجوزاءعن عباس قال فصل لربك وانر قال وضع اليمين على الشمال في الصلاة عند النحر ( معالم التنزيل - تفسير البغوى - ٥/٣١٦ , تفسير الثعبى ١٠/ ٣١١ )
AAP K YAHA BHI ESKA SAWAB HAI Uper Bayan Karda Ahadees Aur Ayat Se Ye Sabit Ho Gaya K Namaz Me Seene Per Hanth Bandna Aaya Hai, Ahadees K Ager Ehtram Hota Tou Unper Amal Kane Walo Ko Galat Na Samjhte , Vole-Vale Awaam Ko Koi Kasur Nahi, Es Elm Nabawi Ko Chupana Aur Esper Amal Karne Walo Ko Galat Kahna Aur Ayse Masail Ki Aar Leker Musalman Bhaio K Darmiyan Nafrat Paida Karna Aur Nawakif Musalmano K Darmiyan Nafrat Paida Karna Or Unke Ander Ahle-Hadeeso K Leye Badgumani Paida Karna , Adal-O-Ensaaf Se Hate Hue Petu Or Chaplus Jo Paiso K Leye Apna Deen Tak Bech Dete Ko Tayyar Hote H Waise Moulwio Ne He Es Ummat Me Naettefaqi Paida Ke Hai, Warna Adal-O-Ensaaf Karne Wale Ulma Ne Es Masle Me Ve Humare Tayeen (Tareef) Ke Hai, Chunche

Hanafi Mazhab K Zaber-10 Muwahed Ulma Me Chand Ulmao K Jikar Karta Hu. Taqreer-E-Tirmidhi"
Written By Ashraf Ali Thanvi Deobandi,
Published By Idaara Taleefaat-E-Ashrafya­h,
Multan Reviewed By Mufti

Justice Taqi Usmani Deobandi. It Is Written On Page 82 Of This Book That:
"Baaz Sahab R.A Naaf K Uper Hanth Bandhte The Yaani Seene Per Jaisa K Aur Ahadees Me Lafz "SADR" Masr Waqi Hua Hai Aur

Baaz Sahab R.A Zeer-E-Naaf par Hanth Bandha Karte The"Hanth Bandha Karte The"
SCAN...LINK PAR CLICK KARE.

Allama Mohammad Mahmood Bin Aine R.Al Apne Kitab Me Lekhte Hai : Imam Safaii R.Al Ne Hazrat Wail Bin Huzr R.A Ki Es Hadees Se Dalill Le Hai, Jise Ibn Kuzaima Ne Apne Sahi Me Rewayat Keya Hai,
Hazrat Wail Kahte Hai K Maine Rasullah Sallahu Alaihe Wasallam K Sath Namaz Padhe Tou Apne Daya Hanth Baaye Hant Per Rakh Ker Seene Per Bandhe" احتج الثافعي بحديث وائل بن حجر ، اًخرجه ابن خذيمة فى صحيه قال صليت مع رسول الله صلى الله عَليه وسلم فوضع يده اليمنى على يده ايسرى على صدره ( Umdatul Qaari Sreh Bukhari Jild-5 Safa-279 )
SCAN...LINK PAR CLICK KARE.

Sahab Hidaya Ne Naaf K Niche Hanth Bandhne K Sabut Me Jo Rewayat Bayan Ki Hai
Usper Allama Aine R.Al Lekhte Hai: (Naaf K Niche Hanth Bandhna) Ye Hazrat Ali R.A K Qoul Hai,Rasullah Sallahu Alaihe Wasallam Ki Taraf Eske NISBAT Karna Sahi Nahi" هذا قول على اًبى طالب و إلى صلى الله عليه وسلم غير صحيح ( Umdatul Qaari Jild-5 , Safa-279 )
SCAN...LINK PAR CLICK KARE. Fer Ye Hadees Paigamber Tou Hai He Nahi, Hazrat Ali R.A Ka Bhi Qoul Hai Ya Nahi, Es Per Allama Aine R.Al Jarrah-O-Tankid Karte Hue Lekhte Hai :
Allama Aine R.Al Jarrah Leken Wo Qoul Jo Hazrat Ali R.A Se Manqul Keya Gaya Hai Usme Qalam Hai, Es Leye K Uske Sanad Me Abdul Rahmaan Bin Eshaq Kufi Hai, Imam Ahmed Bin Humbal R.Al Kahte Hai K Us Saks Ki Koi Haiseyat Nahi, Ye Munkir-Ul-Hadees Hai" ولكن الذي روي عن علي فيه مقال ، لأن في سنده عبد الرحمن بن إسحق الكوفي ، قال أحمد ليس بشيء منكر الحديث ( Umdatul Qaari Jild-5, Safa-279 )
SCAN...LINK PAR CLICK KARE.

(Ho Sakta Hai K Hazrat Ali R.A K Naam Se Ese Ne Ye Rewayat Gad Le Ho)
Eske Baad Allama Aine R.Al Ne Ek Do Nehayat He Zaif Sabut Narm Andaz Me Naaf K Niche Hanth Bandhne K Bayan Keya , Mager Jo Bayan Seene Per Hanth Bandhne K Dalill He Me Hai.

Ek Allama Aine R.Al, Hi Nahi Balke Hanafi Mazhab Ki Bade-Bade Kitabo Me Aur Bade-Bade Fekah Aur Ulmao K Bayan Me Khud Aap K Leye Ve Taleem Mouzud Hai.

Allama Ibn Ameerulhaz Hanfi ( علام ابن الير الحاج حنفى ) Shreh Munia Me Jo Bayan Karte Hai Wo Aap Zoor Se Lekhne K Kabil Hai, Farmate Hai.
إن الثابت من السنه وضع اليمين على الثمال ولم يثبت حديث تعيين المحل الذى يكون فيه الوضع من البدن إلا حديث وائل ( Fatwa E Sanaya )
SCAN...LINK PAR CLICK KARE.

Beshaq Sunnat Se Sabit Hai Sedha Hanth Baye Hanth Per Rakhna Mager Ayse Koi Baat Paya-Sabut Ko Nahi Pahuchte Jiske Ruseh Badan K Kisi Khash Mokaam Per Hantho K Rakhna Wajib Ho Sewaye Wail (Wail Bin Huzr R.A) Ki Hadees K (Jisme Seene Per Hanth Bandhne Ki Sunnat K Bayan Hai)

Ibn Nazeem Ne ابحرالرائق شرح كنزالدقائق Es Ibarat Ko Apne Mazhab Ki Touzeya K Tour Per Zekar Keya Hai,
Wo Farmate Hai ويمكن أن يقال فى توجيه المذهب : أن الثابت من السنه وضع اليمين على الشمال ولم يثبت حديث يوجب تعيين المحل الذي يكون فيه الوضع من البان إلا حديث وائل المذ كوروهو مع كو نه واقعة حال عموم لها يحتمل أن يكون لبيان الجواذ فيحال في ذلك ( Jild-1 Safa-320 Me )

"(Hanafi) Mazhab Ki Touzehah Me Ye Kaha Ja Sakta Hai K Sunnat Se Jo Sabit Hai Wo Daye Hanth Ko Baye Hanth Per Rakhna Hai, Leken Koi Ayse Hadees Sabit Nahi Hai, Jike Rooh Se Badan K Es Hak Ki Tayen Jaruri Karar Paye, Jaha Hanth Rakhna Hai , Sewaye Mazkura Hadees Wail K (Jisme Seene Per Hanth Bandhnae K Bayan Hai) Aur Es Hadees Me Waqiye Haal Bayan Keya Gaya Hai , Jisme Umum Nahi Hai , Ese K Sath Esme Ye Ehtamam Ve Hai K Ye Bayan Jouz K Leye Hai , Lehaza Esko Ese Per Mahmool Keya Jaye"
SCAN...LINK PAR CLICK KARE.

Es Pure Ibarat Se Andaza Keya Ja Sakta Hai K Seene Per Hanth Bandhne Wale Hadees Wail R.A Ki Sehat Ko Tasleem Karne K Bawajood Eske Touzehah Wa Taweel Kar K Mazhab Ko Esper Mukaddam Rakhne Ki Naar-Wa-Kosis Ki Gaye. Lehaza Amwamoallif R.Al K Mazkura Ebarat K Bare Me Ye Kahna K "Wo Aap Zoor Se Lekhne K Kabil Hai" Naqabil-E-Fahm Hai. Es Galat Fahme Ki Wajah Sayad Ye Hai K Unke Samne Mokammal Ebarat Nahi The.

Wallah Hu Alam. Hanfi Maslaq Ki Chooti Ki Kitab Hidaya K Urdu Tarzuma Ain Ul Hidaya Jild-1 Safa-57 Me Hai :
"Naaf K Niche Hanth Bandhne Ki Hadees Ba-Ittefaq Aima Muhaddisin Zaif Hai" SCAN...LINK PAR CLICK KARE.

Hidaya Arbi Jild-1 Kitab Al Salat Safa-71 Per Ye Ibarat Hai :
ضعيف متفق على تضعيفه Naaf K Niche Hanth Badhne Ki Rewayat Zaif Hai Aur Esper Imamo K Ittefaq Hai.

Note: Ye Ibarat Allama Aine R.Al Ne Albanaya Shreh Al Hidaya (2/171) Me Nakal Ki Hai, Jo Darasal Naaf K Niche Hanth Bandhne Wale

Hadees Ali R.A K Mutalliq Imam Nawawi K Qoul Hai-
Wo Farmate Hai : أما حديث علي رضى الله عنه أنه قال : من السنة فى الصلاة وضع الأكف تحت السرة "ضعيف متفق على تضعيفه" Yaani Ali R.A Ki Ye Hadees Bila-Ittefaq Zaif Hai. ( Shreh Al Nawawi 4/115 ), ( Hidaya Urdu Banaam "Ain Ul Hidaya" Jild-1 Safa-59 Hai )"Seene Per Hanth Bandhne Ki Hadees Qawi (Sahih) Hai"
SCAN...LINK PAR CLICK KARE.

Shareh Waqiya Urdu Safa -93 Per Ve Yahi Bayan Mouzud Hai.
Hidaya Arbi Kitab Ul Salat Safa-82 K Hasiya Number 23 Per Ye Ibarat Ve Apke Touzeya K Kab Hai, Aur Ye Ibarat Kattar-Hanafi Mahsi Ki Hai. هذا تعليل بمقابلة حديث وائل فَسَيُرَدُّ، وحديث علي لايعارضه لما ذكرنامن ضعفه Naaf K Niche Hanth Bandhne Ko Bayan Karna Bade Hera-Fare Hai ,

Hazrat Wail R.A Ki Hadees K Mukable Me Ye Mardud Hai ,
Hazrat Ali R.A Wale Rewayat Eske Mukabil Wa Muarz Ho He Nahi Sakte , Kuki Es Rewayat K Kamzor Hona Humne Khud Bayan Kar Deya.neeche Dekhe
"Naaf K Niche Hanth Bandhns Ki Hadees Marfou Nahi , Wo Hazrat Ali R.A K Qoul Hai Aur Zaif Hai" Dekhe Apke Mazhab Ki Kitab Shreh Waqiya Urdu Safa 13

Hidaya Arbi (1/86) Me Jaha Ye Bayan Keya Gaya Hai K Sunnat Me Hai Daya Hanth Baye Hanth Per Rakhna Naaf K Niche , Use K Niche Bain-Alstur Me Hanfi Ulma Ne Lekha Aur Chupaya Hai K " لايعرف مرفوعاً " Ye Riwayat Marfou Nahi Hai , Yaani Rasullah Sallahu Alaihe Wasallam Tak Es Rewayat Ki Sanad Nahi Pahuchte .

Moulana Abdul Haye Hanfi R.Al Ne Shreh Waqiya Safa 165 K Arbi Haseya Safa-6 Per Hazrat Ali R.A Wale Rewayat Ke Sanad Ko Zaif Karar Deya Hai ,
SCAN...LINK PAR CLICK KARE.

Fer Unhone Ek Rewayat Naaf K Niche Hanth Badhne Ki Bayan Ki Hai,Leken Ye Rewayat Ibn Abi Saiba Ki Hai Jise Aap K Maslaqi Hanfi Ki Kitabo Me 3sri Darze Ki Kitab Karar Deya Gaya Hai, Jise Sahih Kitabo K Mukable Me Qabul Nahi Keya Ja Sakta Hai , Eske Elawa Es Riwayat Me Inqita Ve Baaz Muhaddisen Bayan Karte Hai, Fer Eske Baad Seene Per Hanth Badhne K Baare Me Unke Alfaaz Ye Hai
"Haa Beshaq Naaf K Uper Seene K Pass Hanth Bandhna Musnad Ahmed Aur Sahi Ibn Kuzaima Se Sabit Hai Aur Ese Hadees Ko Imam Safaii Ne Ekhteyar Keya Aur Unke Manne Walo Ne bhi, Aur Humare Hanfi Ashab Ne Bhi Ese Hadees Ko Aurto K Baare Me Ve Leya Hai (Hanfi) Aurte Seene Per Hanth Bandhe , Kuki Seene Per Hanth Badne Me Unke Parda Posi Jayada Hote Hai." نعم قدثيت فوق السرة عند الصدر في رواية أحمد وابن خزيمه ، وبه اًخذ الشا فعي ومن تبعه وأخذبه أصحابنا في حق النساء ، لأن وضع الليدين على الصدر أسترلهن SCAN...LINK PAR CLICK KARE.

Main Kahta Hu K Aurto Ki Parda Posi Tou Hai He , Ager Mard Bhi Seene Per Hanth Bandhte Tou Zaif Riwayato Per Amal Karne Se Unke Bhi Parda Posi Ho Jaati ,Aur Huzur Sallahu Alaihe Wasallam Ki Sunnat K Zayada Kareeb Ho Jaate.
Ye Bhi Acche Tarah Samjh Lejye K Aurto Or Mardo Me Tafreeq Karna Mahaz Be-Dalill Hai.

Hazrat Shamsuddin Mirza Mazhar Jaan Jaanan Hanfi R.Al Seene Per Haanth Bandhne Ki Hadees Ko Basabab Qawi Hone K Tarzeh Dete The Aur Khud Seene Per Haanth Bandhte The. ( Mukaddama Ain Ul Hidaya 1/111 )
Ager Abhi Bhi Yakeen Nhi Ho Raha K Naaf K Niche Hanth Bandhne Wale Hadees Zaif Hai, Tou Khud K Ghar Ki Gawahi Padhe..
1- Refrence Scan...LINK PAR CLICK KARE.
2- Refrence Scan...LINK PAR CLICK KARE.
3- Refrence Scan...LINK PAR CLICK KARE.
4- Refrence Scan...LINK PAR CLICK KARE.
5- Refrence Scan...LINK PAR CLICK KARE.

Natiza Ye K Naaf K Niche Haanth Bandhne Ki Rewayat Zaif Hai , Jiska Aitraaf Aap K Mazhab Ki Kitabo Me Aur Feka Karaam Ki Zubani Hua Hai,Aur Seene Per Haanth Bandhne Ki Ahadees Sahih Hai , Eska Bayan Bhi Kitab Feka Me Hai Aur Feka-E-Karaam Ne Bhi Esi Ko Zayada Sahih Qarar Deya Hai, Ayse Surat Me Sahih Per Amal Karne Walo Ko Galat Batana Aur Nafrat Failana Kisi Tarah Teek Nahi, Gale Mil Jaana Aur Mohabbat Se Pess Aana He Musalmano K Kaam Hai.

# IslamicLeaks

Thursday, July 16, 2015

MASLA KHALF UL IMAM AUR BAAZ ULEMA E AHNAAF KA QAUL

Bismillahirrahmanirraheem
AS SALAM O ALLAIKUM WR WB

Hz anas (ra)farmate hain ki" Rasoollah ne apne sahaba ko namaaz padhai, namaaz padha kar unki taraf ghoom kar pauccha, kya tum apni namaaz me imam ki qir'at ke saath padhte ho...sab khamosh rahe. Teen baar aapne puccha. Phir jawab diya. Haan huzoor hum aisa karte hain aur farmaya, na kare ! Tum me se har ek ko chahiye ki sirf surah fatiha dheere se padh liya kare, yaani surah fatiha zaroor padh liya karo aur phir khamoshi se qir'at suna karo...
(Sahih Bukhari)

SHAH WALIULLAH DEHLWI KA FATAWA

" agar imam unchi aawaz se qir'at padhta hai . To muktadi imam ke saktah ke waqt peeche-peeche alhamdu sharif padhta jaaye. Aur agar khmoshi se padhta hai to muktadi ko choot hai(jis tarah padhe)

saktah= surah padhte waqt imam jahan thaharta hai

HIDAYAH KA FATAWA

hidayah hanafi maslak ki bahut maqbool aur unche darje ki kitaab hai. Iski pahli jild fasl-fil-qir'at me fatiha khalf ul imam ke baare me ye fatawa hai.

Wa-yustahsun ala sabilil ihtiyati

ahtiyaat ke liye surah fatiha ka imam ke peeche padh lena hi behtar hai

(hidayah)

IMAM KE PEECHE SURAH FATIHA AUR BAAZ AIMMA E AHNAF KE AQWAAL:

1- Allama aini hanafi sharah bukhari me likhte hain " baaz fuqaha e hanfiya har namaz me chaahe wah sirri ho ya jahri imam ke peeche alhamdu (surah fatiha) padhne ko ehtiyaatan mustahab(bahtar) bataate hain, baaz fuqaha sirf sirri namaz me, aur makka aur madina aur mulk e shaam ke fuqaha ka isi par amal hai"

(gausul gamaam)

2- Allama abdul haiy lakhnawi rh likhte hain " imam muhammad rh (imam abu hanifa ke shargird) se marwi hai ki unhone imam ke peeche surah fatiha padhne ko sirri namaz me mustahab(behtar) bataya hai, aur isi tarah imam abu hanifa rh se riwayat kiya gaya hai aur isi to hamare bahut se masaikh ne akhtiyaar kiya hai"

(umdatul qari)

3- imam shorani rh farmate hain " imam abu hanifa rh aur imam muhammad rh ka aakhiri qaul yahi hai ki imam ke peeche surah fatiha padhi jaaye, na padhne ka Qaul pahle ka hai, jisse unhone ahtiyaatan ruju kar liya hai"

(gausul gamaam)

4- khwaja nizamuddeen awliya rh imam ke peeche surah fatiha padhte they aur farmate they " nabi(sws) se sahih sanad se saabit ho chuka hai ki jisne surah fatiha na padhi uski namaz nahi hoti, ek baar jab aapne ye hadith pesh ki to wahan qaazi ruknuddeen bhi maujood they wah kahne lage tujhko hadith se kya kaam abu hanifa ka koi qaul pesh kar

hz nizamuddeen rh ne farmaya:-" subhaanallah! Main nabi ki hadith pesh karta hun aur tum mujhse abu hanifa ki riwayat talab karte ho, phir aapne farmaya:- fuqaha ki is bahaduri par tajjub hai ki hadith ka kaise inkaar karte hain aur kahte hain ki fiqhi riwaayat rasool(sws) ki hadith par muqaddam hain"

(nuzhatul khwatir)

5- Maulana rasheed ahmad gangohi rh likhte hain " jab aap(sws) ko qirat me munaz'at aur siql huwa aur logon ka padhna malum huwa to aap(sws) ne huqm farmaya, Agarche tum jaldi jaldi saktaat e imam me hi padhte ho taa ham padha kare siwaaye fatiha ke kyonki surah fatiha ke begair namaz nahi hoti"

(sabeelur rasheed)

6- Sheikh abdul qadir jilani rh likhte hain " Surah Fatiha ka padhna farz aur namaz ka ruqn hai, surah fatiha ke na padhne se namaz baatil ho jaati hai"

(gunyatuttaleebeen)

7- mulla jeevan ne tafseer e ahmadi me likha hai " agar jamaat e soofiya aur mashaikheen e hanafiya ko dekhoge to tumhe malum hoga ki ye log imam ke peeche alhamdu(surah fatiha) padhne ko mustahab bataate they jaisa ke imam muhammad rh ehtiyaatan mustahab bataate they"

(tafseer e ahmadi)

IMAM KE PEECHE SURAH FATIHA NA PADHNE KE DALEELO KA JAYZA


"SURAH AARAF AYAT NO. 204 ME HAI KE:
"Quran padha ja raha ho to khamosh raho aur suno."

JAWAAB:
DARASAL is qirat se murad asal aam qirat hai surah fatiha nahi, aam qirat ka aur hukm hai aur surah fatiha ka aur hukm hai.

MISAAL NO. 1:
jistarah surah juma ayat no. 9 me hai ke:
JAB JUMA KE LIYE AZAN DI JAYE TO NAMAZ KI TARAF DAUDO:
yahan par is AAM HUKM SE BEEMAR, BACHHA, AURAT AUR GHULAM MUSTASHNA HAI AUR EK RIWAYAT ME MUSAFIR KA BHI ZIKR HAI. JIS TARAH TAMMA MOMINO SE YE 4 QISM KE LOG KHARIJ HOGAY JUMA PADHNE SE. ISI TARAH RASUL SAW NE AAM QIRAT SE SURAH FATIHA KO ALAG KAR DIYA:

MISAAL NO. 2 ALLAH NE har insan ko ek mard aur aurat se paida karne ka usoo banaya hai lekin EESA ALAIHIS SALAM KO BEGAIR BAAP KE PAIDA KARKE IS USOOL SE MUSTASHNA QARAR DIYA HAI. ISI TARAH SURAH FATIHA KO AAM QIRAT SE ALAG KAR DIYA GAYA HAI. QYUNKI UBADA BIN SAMAT RZ AUR HAZRAT ABU HURAIRA RZ SAHABI SE IMAM KE PEECHE SURAH FATIHA PADHNE KA SABOOT MILTA HAI.

IMAM KE PEECHE SURAH FATIHA PADHNE KE DALAAIL AHADEES SE SABOOT:

1.Sayadna Ubada bin samat raz rawi hai ke rasul saw ne farmaya jo shaks surah fatiha na padhe iski namaz nahi.
[Bukhari, Hadis 756, Muslim 874]

 2.Umada bin samat se hi riwayat hai ke rasul saw ne farmaya is shaks ki namaz nahi jo ummul quran ki qirat na kare.
[Muslim H. 875]

AUR imam mahmood bin rabee farmate hain ke mujhe sayadna ubada bin samat rz ne khabar di hai ke rasul saw ka irshad hai jo shaks ummul quran ki qirat na kare iski namaz nahi.
[Muslim 876]

3.Sayadna ubada bin samat rz Nabi saw se riwayat karte hain ke namaz nahi magar surah fatiha ki tilawat ke saath.
[Sahih ibn Khuzaima j. 1 page 237]

aur sayadna ubada bin samat rz se SUNAN DARQUTANI J. 1 PAGE 322 me bhi aisa hi hai.


4.Sayadna Abu Hurairah rz rawi hai ke Nabi saw ne farmaya: ke JIS NE NAMAZ PADHI AUR ISME SURAH FATIHA NA PADHI TO USKI NAMAZ NAAQIS HAI,
TEEN BAAR FARMAYA, PURI NAHI,
SAYADNA ABU HURAIRA RZ SE KAHA GAY KE HUM IMAMM KE PEECHE HOT HAI TO?
AAP NE FARMAYA AAHISTA PADHA KARO KYUNKI maine rasul saw se suna hai ke Allah tala ne farmaya namaz mere aur bande ke darmiyan aadhi taqseem hogai hai, aur meraj banda jo bhi maange ga use wahi milega.
Chunancha Banda jab
ALHAMDULILLAHI RABBIL AALAMIN kahta hai to
Allah tala kahte hian, Hamdani abdi (mere bande ne meri tarif ki) aur jab
AR RAHMANIR RAHIM kahta hai to
Allah kahta hai, (banda ne meri khubi aur buzurgi bayan ki aur kabhi farmata hai ke banda ne apne kamo ko mere supurd kar diya) phir jab wo
IYYA KANA BUDU WAIYYA KANASTAIN, kahta hai to
Allah farmata hai. (ye mere aur bande ke beech hai aur mere banda ko jo wo mange mile ga.) aur jab wo
IHDINAS SIRAATAL MUSTAQIM …….. walazzuwaalin. kahta hai to
Allah tala farmata hai ye mere bande ke liye hai aur jo wo mange ise wahi milega.
[Sahih Muslim, kitabu salat baab wajoob qirat fatiha… Hadis 878]

 5.Sayadna Abu Huraira rz farmate hain ke Rasul saw ne farmaya ke jis ne namaz padhi aur isme surah fatiha na padhi to iski namaz Naaqis hai Naaqis hai Naaqis hai puri namaz nahi.
[Abu Dawood, H. 821,]
[Muwatta Imam Malik aur Nasawi H. 910]

 6.Sayadna Abu Huraira rz Rawi hai ke Rasul saw ne farmaya ke "Namaz jayaz nahi jisme surah fatiha na padhi jaaye (Sayadna Abu huraira rz kahte hain) maine kaha agar main imam ke peecho hoo?
Abu Huraira rz kahte hai ke mera hath aap ne pakad liya aur farmaya ke apne NAFS (JEE) me padha kar.
[Sahih ibn Hibba, H. 1786,] wa
[Mawariduz Zamaan Page 126 H. 457]

 7.Sayadna Abu Uuraira razi Rawi hai ke Rasul saw ne farmaya ke "har namaz jisme surah fatiha na padhi jaye wo naaqis hai puri nahi hai" maine kaha ke agar main imam ke peeche (namaz padh raha) hoo to? Aap saw ne mera haath pakad kar farmaya aye farsi aahista padha karo.
[Masnad abu Awwana j. 2page 127]

 8.Sayadna Abu Huraira rz se
Masnad Ahmedl j. 2 page 290, isnad hasan,
Arwal galil j. 2 page 281 aur
kitabul Qirat Behqi Page 33 me bhi yahi hai ke jiska mafhoom hai ke jis shaks ne namaz padhi aur isme surah fatiha na padhi to iski namaz naaqis hai.

 9.Ummul Momineen Hazrat Aaisha rz bayan karti hain ke maine Rasul saw ko ye kahte suna ke aap farma rahe the ke har namaz jisme ummul quran na padhi jaye wo naaqis hai,
[Ibn Maja, Baab Qirat khalful Imam, H. 840],
[Masnad Ahmed j. 6, page 142],
[Tabrani Sagir j. 1 page 164 H. 257]
[Kitabul Beheqi Page 37]
[tabrani ausat j. 8 page 206, H. 7422]


Imam ke peeche SURAH FATIHA PADHNA YA PADHHANA (QAULAN YA FALAN) IN SAHABA KIRAM RZ SE SAABIT HAI “qaulan wa fa’lan”

 1.Sayadna ABU HURAIRAH RZ.
[Sahih Muslim:395,)
[Juzz Qiratul Bukhari: 73, 283]
2.Sayadna UBADAH BIN SAAMAT RZ
[Musannaf ibn Abi Shiba 1/375, H. 3770,]
[AHSANUL KALAM J. 2, PAGE 142]
3.Sayadna UMAR IBN KHATTAB RZ.
[mastadrak haakim 1/239 H. 873] wa
[Sahayaul Haakim wa Fiqha Zebhi]
4.Sayadna ABU SAEED KHADRI RZ.
[Juzz Qirat: 57, 105] wa
[Hasna Nemwi Taqlidi fi Haashiya Aasarus Sanan: 358]
5.Sayadna JAABIR RZ.
[Sunan ibn Maaja: 843] wa
[Qaala Buseri: Haza isnad sahih)
6.Sayadna ABDULLAH BIN ABBAS RZ.
[mussanaf ibn abi sheba 1/375, H. 3773], wa
[Sahiyal Behqi fi Qitab Qirat: 436]
7.Sayadna ANAS BIN MALIK RZ.
[Kitab Qirat Beheqi: 231 Sanad Hasan]
8.Sayadna ABDULLAH BIN UMRO BIN AL-AAS
[sunan kubra beheqi: 215 Waqala Saza isnad Sahih]
9.Sayadna ABI BIN KA’AB RZ.
[Juzz Qirat: 52 Sanad Hasan)
10.Sayadna ABDULLAH BIN UMR RZ.
[Sahih ibn Khuzaima j. 1, Page 287, H. 572)
11.Sayadna ABDULLAH BIN MASOOD RZ.
[kitabus Saqaat ibn Hibban 5/58)

Note: inke muqable me kisi sahabi se fathiha khalful imam ki manaai saabit nahi, sirf sayadna jabir rz ka ek qaul hai ke
“jisne surah fatiha ke bagair ek rakat padhi to iski namaz nahi hui, illa ke imam ke peeche ho” [Muwatta Imam Malik, Sunan Tirmizi j. 1 page 71]

YE QAUL KHUD Sayadna Jabir rz ke apne qaul wa amal ke mukhalif hone ki waja se mansookh hai. aur jin aasaar me imam ke saath qirat se mana kiya gaya hai, unse muraad ye hai ke
IMAM KE SAATH JAHRI QIRAT NA KI JAYE, rahi fathi khalful imam ki sirri (khamoshi se) to ye in aasaar ki roo se mana nahi hai.


 TABAEEN KIRAM RZA. se FATIHA KHALFUL IMAM KA SABOOT

darj zail tabaeen izzam rah. ajmain se FATIHA KHALFUL IMAM (YANI IMAM KE PEECHE SURAH FATIHA PADHNA QAULAN YA FELAN) SAABIT HAI.

1.SAEEF BIN JABEER RA.
[Juzz Qirat: 273, hasan: kitab Qiraat: 237]
2.Hasan basri ra.
[Kitab Qiraat: 242]
[Sunan Kubra Beheqi 2/171, sanad sahih]
3.AAMIR SHABAI RA.
[Musannaf ibn Abi Sheba 1/374, 375, H. 3772, 3764 Sanad Sahih]
4.UBAIDULLAH BIN ABDULLA UTBA RA.
[Musannaf ibn Abi Sheba 1/373, H. 3772 Sanad Sahih]
5.ABU MALEEH USAMA BIN UMAIR RA.
[Musannaf ibn Abi Sheba 1/375, H. 3768, Sanad Sahih]
6.URWAAH BIN ZUBAIR RAH.
[Muwattaf Imam Malik, 1/85, H. 186 Sanad Sahih)
7.QAASIM BIN MOHAMMED ABI BAKR RA.
[Muwatta imam Malik 1/85, H. 187 Sanad Sahih]
8.NAAFE bin JABEER BIN MUT’AM RA.
[Muwatta Imam Malik 1/85 H. 187 Sanad Sahih]
9.HUKM BIN UTAIBA RA.
[Musannaf ibn Abi Sheba 1/374, h. 3766]
10.MAHKOOL RA.
[Kitab Qiraat: 246, Sanad Hasan]


MASHOOR MOHADDIS IMAM TIRMIZI RA NE FATIHA KHALFUL IMAM KE BARE ME LIKHA HAI:

AUR (fatiha khalful imam ki) is hadis par imam ke peeche qirat karne me aksar sahaba aur tabaeen ka amal hai” (j. 1, page 70-71, H. 311, ma’a urf shazi).

IMAM AHMED BIN HAMBAL RA. AUR QIRAT: IMAM ahmed bin hambal ra ka fatwa pesh kiya jata hai ke wo imam ke peeche surah fatiha wali ubada r ki hadis ki taweel karte hain ke ye munfard ke liye hai. iske bawajood farmate hain: Yani ikhtiyar kiya imam ahmed bin hambal ne bawajood is taweel ke qirat khalful imam ko aur ye ke na chhorde koi shaks surah fatiha ko agarcha imam ke peeche ho. allama aini ne sharah bukhari 3/64 par imam ahmed ra ke nazdik qirat khalful imam ko lazim qarar diya hai.
[Jame Tirmizi, Kitabus Salat: jild 1).


FATIHA KHALFUL IMAM PAR


HANAFIYON KE dalail aur jawab surah fatiha padhne ke

1- Hazrat Bashir bin Jabir farmate hain ke hazrat abdullah bin masood rz ne namaz padhi aur chand aadmiyon ko imam ke saath qirat karte suna jab aap namaz se faarigh hue to farmaya ke kiya wo waqt abhi nahi aya ke tum samajh aur aqal se kaam lo, jab quran karim ki qirat hoti hai to tum iski taraf tawajja karo aur khamosh raho jaisa ke allah ne tumhe hukm diya hai.
[Tafsir Tabri. j. 9 Page 110]

JAWAB:
Pahli Baat: iski sanad me muharbi (abdur rahman bin mohammed) hai jo saqa wa sadooq hai magar mudallis haij jaisa ke uqaili, imam ujali aur hafiz ibn hajar ne sarahat ki hai.
[Tahzib, j. 6 page 266], wa
[Taqrib 319, tabqaat mudallisin page 40] iski waja se ye zaeef hai.

Dusri Baat: riwayat ke alfaz saamne hai ke PADHNE WAALO NE BULAND (ZOR ya unchi) AAWAAZ SE PDHA THA, logo ko qirat karte suna, SUNA TAB HI JATA HAI JAB BULAND AWAAZ SE PADHA JAAYE, AUR buland awaz se nahi padhna chahiye.


2. Hazrat ibn Abbas rz se WAIZA QURAL QURAN ….. ke mutalliq marwi hai ke ye farz namaz ke bare me naazil hui hai.
[Kitabul Qirat Beheqi Page 88]

JAWAB:
Pahli Baat: farz namaz k kis rukn ke mutalliq nazil hui hai, imam ke bare me ya muqtadi ke haq me, riwayat me iska tazkira nahi hai.

Dusri Baat: sanad bhi zaif hai, isme rawi abdullah bin aaleh mutakallim fiya hai. hafiz ibn hajar farmate hai. sadooq kasirul galat
[Taqrib p. 177] aur
imam nasai aur ibn madini, saaleh bin mohammed aur imam ahmed ne is par JARAH ki hai.
[Tahzib j. 5, Page 258],
[Meezan j. 2 page 440] aur
Allama Mardini ne (Al Johar naqi j. 1. page 309) me ise zaif qarar diya.

Teesri Baat: iska matan bhi mahal-e-nazar hai kyunki surah aaraf nabuwwat ke daswein saal nazil hui thi jaisa ke majm’al absaar j. 2 page 530) me hai. halanki NAMAAZ nabuwwat ke barawhein saal meraaj ki raat farz hui thi.

3. HAZRAT Abdullah bin Umar rz farmate hain ke bani israil ke imam jab qirat karte to bani israil inki majawabat karte the, Allah ne ye kaam is ummat ke liye napasand farmaya aur irshad farmaya ke jab quran padha jaye to iski taraf kaan lagaye raho aur chup raho. (durr-e-mansur, j.3 page 156)

JAWAB:
Pahli Baat: majawabat karte the. iska lagwi maani aata hai. KE INKO JAWAAB DETE THE. jaisa aajkal mushairah me koi shayar ke sher sun kar use daad di jati hai. aur phir tarjuma se hanfiyon ka maslak kis tarah waazeh hota hai kyunki tarjuma me bhi baat waazeh nahi.

Dusri Baat: durr-e-mansoor me ye riwayat abu shaikh se naqal ki gai hai ye kitab maroof nahi hai JO IS RIWAYAT KI SEHAT KA MUDDAI HAI USE ISKI SAHIH SANAD PESH KARNA HOGA.

4. Hazrat Abdullah bin Maghfarl rz aayat WAIZA QURAL QURANA… ke mutalliq farmate hain ke ye namaz ke bare me nazil hui hai. (kitab qirat beheqi page 87)

JAWAB:
Pahli Baat: imam beheqi ra ne is riwayat par aage JARAH bhi ki hai ke iski sanad me hisham bin ziyad rawi hai jis par sanad mukhtalif hogai hai aur ye khud lais bilqawa hai
[qirat pag e87] ise
Abdullah bin Ahmed,
Abu Zara’a, ibn Muee,
Abu Hatim, Darqutani,
ibn Saeed,
Ujali,
Yaqoob bin Sufiyan ne ZAEEF qarar diya hai.

Imam Bukhari farmate hain ke is par kalam kiya gaya hai,
Abu Dawood farmate hain gair saqa hai, tirmizi kahte hain iski tazeef ki gai hai.
Nasai aur IZDI matrook kahte hain, imam abul walid iske hamsaya the wo farmate hain ke hafz manqari se isne hasan basri ki kitab li thi aur is se imam hasan baseri se riwayat karta hai hai.
[matlab in se sama’a (sunna) saabit nahi] aur iski hasan basri se riwayat munkir hain.
Imam ibn Hibban farmate hain saqat se mangarat aur wazai riwayat naqal karta hai. IS SE AHTEJAJ KARNA JAYAZ NAHI
[Tahzib j. 1 Page 39, Meezan j. 4, Page 298]

Dusri Baat: iski sanad aur matan me bhi iztirab hai jaisa ke imam beheqi ne kitab qirat me tafsil darj ki hai, matlab ye riwayat zaeef wa muztarab hai. IMAM KE PEECHE SURAH FATIHA PADHNE KE KE BARE ME HANAFIYON SE SAWAL sirf ek hadis aur farman-e-rasul saw dikha dein ke rasul saw ne farmaya ho “JO IMAM KE PEECHE SURAH FATIHA NA PADHE ISKI NAMAZ HO JATI HAI”.

Monday, July 6, 2015

Holy Quran Para


Download Holy Quran Para !


Below is the Holy Quran in PDF, divided into 30 para's. 
Click on the Para link to download it:

 Quran Para 1             Quran Para 2

 Quran Para 3             Quran Para 4

 Quran Para 5             Quran Para 6

 Quran Para 7             Quran Para 8

 Quran Para 9             Quran Para 10

 Quran Para 11           Quran Para 12

 Quran Para 13           Quran Para 14

 Quran Para 15           Quran Para 16

 Quran Para 17           Quran Para 18

 Quran Para 19           Quran Para 20

 Quran Para 21           Quran Para 22

 Quran Para 23           Quran Para 24

 Quran Para 25           Quran Para 26

 Quran Para 27           Quran Para 28

 Quran Para 29           Quran Para 30

Sunday, July 5, 2015

TASHAHUD ME UNGLI UTHANA



”TASHA’HUD ME UNGLI UTHANA RASOOL ALLAAH (SAW ) KI BADI BA BARKAT AOR AZMAT WALI SUNNAT HAI ISKA SUBOOT SUNNAT-E-RASOOL ALLAAH (SAW) SE MULAAHEZA FARMAYEN “



Hazrat ibn umar (raz) rewayat karte hain ki rasool ALLAAH (saw) jab namaz ke (qa’da) me baithte to apne dono haath apne dono ghuthno par rakhte ,Aor apni daahini ungli jo anguthe ke nazdeeq hai utha lete , Pass uske saath dua maangte ..

[ Sahi Muslim , Hadees No,580 ]

pass iske saath dua maangte ,,
iska sahi mafhoom ye hai ki angusht e shahadat ke saath isharah farmate,,,
jis tarah ke baad me aane wali rewayat me iski wazahat aor tasreeh maojood hai


Hazrat Abdullaah bin Zubair (Raz) rewayat karte hain ,Ki rasool ALLAAH (saw) jab ( namaz me ) tasha’hud padhne baithe to apna daaya’n haath daaye’n , aor baaya’n haath baaye’n raan par rakhte aor shahadat ki ungli ke saath isharah karte ,aor apna angootha apni darmiyyani ungli par rakhte ,

[ Muslim Hawala Sabiq , Hadees No.579]


Nabi sallallaho alaihe wasallam daayen haath ki tamaam ungliyon ko band kar lete , Anguthe ke saath wali ungli ko qibla rukh kar ke uske saath isharah karte .

[Sahi Muslim Hawala Mazkoor , Hadees No.580]


Hazrat Wayel bin Hajar (Raz) rewayat karte hain ki rasool ALLAAH sallallaho alaihe wasallam (dusre sajde se uth kar qa’da me ) Baithe ,2 ungliyon ko band kiya ,(Anguthe aor darmiyaan ki badi ungli se halqah banaya ) Aor angusht e shahadt (kalme ki ungli ) se isharah kiya .

[Abu Dawood , Hadees No.726]
[Imaam ibn Habban , Hadees No.485]
[Ibn Khuzaima Hadees No713, 714 ne sahi kaha hai ]
Tasha’hud me daaye’n haath se halqah banane ki ye dusri masnoon kaifiyat hai .


Hazrat Wayel bin Hujar (Raz) farmate hain ki Rasool ALLAAH Sallallaho Alahe Wasallam ne ungli uthaai aor use hilate the .
[ nisai hadees namber , 990] ise
[Ibn Habban , 485] aur
[Ibn khuzaima , 714, ne sahi kaha hai ].


Sheikh Yasir Albani farmate hain ki ungli ko harkat na de wali rewayat -shaaz-ya – munkir – hai ,Lehaza ise hadees e wayel bin hujar ke muqaable lana jayez nahi hai ,

Sirf ( LAILAHA ILLALLAH ) kahne par ungli uthana aor kahne ke baad rakh dena kisi rewayat se sabit nahi hai ,.

Tasha’hud ki ungli me thoda sa kham hona chahiye .
[Abu Dawood Hadees No.991], ise
[Ibn Khuzaima Hadees No.716], aur
[Ibn Habban ,199, ne sahi kaha hai .